SHAYARIFY
Shayari Love, Tere Pyar Ke Nagme
Mehfooz Hain Tere Pyar Ke Nagme Iss Dil Mein,
Jab Dil Kare Toh Darwaaza KhatKhata Dena.
महफूज हैं तेरे प्यार के नगमें इस दिल में,
जब दिल करे तो दरवाजा खटखटा देना।
Meri Rooh Tarasti Hai Teri Khushboo Ke Liye,
Tum Kahin Aur Jo Maheko To Bura Lagta Hai.
मेरी रूह तरसती है तेरी खुशबू के लिए,
तुम कहीं और जो महको तो बुरा लगता है।
Kehna Hi Pada Usko Yeh Khat Parh Kar Humara,
Kambakht Ki Har Baat Mohabbat Se Bhari Hai.
कहना ही पड़ा उसे ये खत पढ़ कर हमारा,
कमबख्त की हर बात मोहब्बत से भरी है।
Sad Hindi Shayari, Fir Sulagta Chhod Dena
Laga Ke Aag Fir Sulagta Chhod Dena,
Uski Aadat Thi Humko Tadapta Chhod Dena,
Yoon Fizool Hua Humara Aayina Hona,
Uska Sajna-Sanwarna Aur Humko Tod Dena.
लगा के आग फिर सुलगता छोड़ देना,
उसकी आदत थी हमको तड़पता छोड़ देना।
यूँ फ़िज़ूल हुआ है हमारा आईना होना,
उसका सजना-सँवरना और हमको तोड़ देना।
Gujre Huye Waqt Ki Kuchh Nishaniya Baaki Hain,
Abhi Uski Gali Mein Meri Kahaniya Baaki Hain,
Abhi Zinda Hai Mohaabat Mujh Mein Kahin,
Logon Ke Dilon Mein Hairaaniya Baaki Hain.
गुजरे वक्त की कुछ निशानियां बाकी हैं,
अभी उसकी गली में मेरी कहानियाँ बाकी हैं,
अभी ज़िंदा है मोहब्बत मुझ में कहीं,
लोगों के दिलों में हैरनियाँ बाकी हैं।
Freindship Shayari, Dosti Ka Mol
Tum Mujhse Dosti Ka Mol Na Poochhna Kabhi,
Tumhen Kisne Kaha Ki Ped Chhanv Bechte Hain?
तुम मुझसे दोस्ती का मोल ना पूछना कभी,
तुम्हें किसने कहा की पेड़ छाँव बेचते हैं..?
Mujhe Dost Kehne Wale Jara Dosti Nibha De,
Ye Takaja Hai Haq Ka Koi Iltija Nahin Hai.
मुझे दोस्त कहने वाले जरा दोस्ती निभा दे,
ये तकाजा है हक़ का कोई इल्तिजा नहीं है।
Patjhad Ke Mausmo Se Bahla Rahe Hain Dil Ko,
Kanton Mein Fhans Gayi Hai, Phoolon Ki Dosti.
पतझड़ के मौसमो से बहला रहे हैं दिल को,
कांटों में फँस गयी है, फूलों की दोस्ती।
Main Kab Ka Wazir Ho Jaata
Agar Pal Bhar Ko Bhi Main Be-Jamir Ho Jaata,
Yakeen Maaniye Main Kab Ka Wazir Ho Jaata.
अगर पल भर को भी मैं बे-जमीर हो जाता,
यकीन मानिए मैं कब का वजीर हो जाता।
Aasmaano Se Farishte Jo Utaare Jayein,
Wo Bhi Iss Daur Mein Sach Bolein To Maare Jayein.
आसमानों से फरिश्ते जो उतारे जाएँ,
वो भी इस दौर में सच बोलें तो मारे जाएँ।
Aankhon Mein Aansuon Ki Nami
Ab Teri Aankhon Mein Aansuon Ki Nami Kyon Hain,
Jab Chhod Diya Tha To Bhula Bhi Diya Hota.
अब तेरी आँखों में आँसुओं की नमी क्यों हैं,
जब छोड़ दिया था तो भुला भी दिया होता।
Ashq Beh Kar Bhi Kam Nahin Hote,
Aankhein Kitani Ameer Hoti Hain.
अश्क बह कर भी कम नहीं होते,
आँखें कितनी अमीर होती हैं।
Na Jane Kaun Sa Aansoo Kisi Se Kya Kah De,
Ham Is Khyal Se Nazren Jhukae Baithe Hain.
न जाने कौन सा आँसू किसी से क्या कह दे,
हम इस ख्याल से नजरें झुकाए बैठे हैं।