- Home
- Alfaaz Shayari
- Mein Alfaaz Likhta Hoon
Mein Alfaaz Likhta Hoon
Main Alfaaz Hoon Teri Har Baat Samajhta Hoon,
Main Ehsaas Hoon Tere Jazbaat Samajhta Hoon,
Kab Poochha Maine Ki Kyoon Door Ho Mujhse,
Main Dil Rakhata Hoon Tere Halaat Samajhta Hoon.
मैं अल्फाज़ हूँ तेरी हर बात समझता हूँ,
मैं एहसास हूँ तेरे जज़्बात समझता हूँ,
कब पूछा मैंने कि क्यूँ दूर हो मुझसे,
मैं दिल रखता हूँ तेरे हालात समझता हूँ।
Kalam Chalti Hai To Dil Ki Aawaaj Likhta Hoon,
Gam Aur Judai Ke Andaaz-E-Bayaan Likhta Hoon,
Rukte Nahin Hain Meri Aankhon Se Aansoo,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaaz Likhta Hoon.
कलम चलती है तो दिल की आवाज लिखता हूँ,
गम और जुदाई के अंदाज़-ए-बयां लिखता हूँ,
रुकते नहीं हैं मेरी आँखों से आंसू,
मैं जब भी उसकी याद में अल्फाज़ लिखता हूँ।
Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath,
Pyar Unka Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath,
Khata Kuchh Nahi, Bas Pyar Kiya Hai,
Unka Pyar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath.
खता हो जाती है जज़्बात के साथ,
प्यार उनका याद आता है, हर बात के साथ,
खता कुछ नहीं, बस प्यार किया है,
उनका प्यार याद आता है, हर अलफ़ाज़ के साथ.