Mir Taqi Mir Shayari Collection
Mere Rone Ki Haqeeqat Jis Mein Thi,
Ek Muddat Tak Wo Kagaz Nam Raha.
मेरे रोने की हक़ीक़त जिस में थी,
एक मुद्दत तक वो काग़ज़ नम रहा।
Ab Kar Ke Faraamosh To Naashaad Karoge,
Par Ham Jo Na Honge To Bahut Yaad Karoge
अब कर के फ़रामोश तो नाशाद करोगे,
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे।
Ab To Jaate Hain But-Kade Se 'Mir',
Phir Milenge Agar Khuda Laaya.
अब तो जाते हैं बुत-कदे से 'मीर',
फिर मिलेंगे अगर ख़ुदा लाया।
Hamaare Aage Tera Jab Kisi Ne Naam Liya,
Dil-E-Sitam-Zada Ko Ham Ne Thaam Thaam Liya.
हमारे आगे तेरा जब किसी ने नाम लिया,
दिल-ए-सितम-ज़दा को हम ने थाम थाम लिया।
Naazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye,
Pankhudi Ek Gulaab Ki Si Hai.
नाज़ुकी उस के लब की क्या कहिए,
पंखुड़ी एक गुलाब की सी है।
Patta Patta Boota Boota Haal Hamara Jane Hai,
Jane Na Jane Gul Hi Na Jane Baag To Saara Jane Hai.
पत्ता पत्ता बूटा बूटा हाल हमारा जाने है,
जाने न जाने गुल ही न जाने बाग़ तो सारा जाने है।
Raah-E-Door-E-Ishq Mein Rota Hai Kya,
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya.
राह-ए-दूर-ए-इश्क़ में रोता है क्या,
आगे आगे देखिए होता है क्या।
Yaad Uski Itni Khoob Nahin Mir Baaz Aa,
Naadaan Phir Wo Jee Se Bhulaaya Na Jaega.
याद उसकी इतनी ख़ूब नहीं 'मीर' बाज़ आ,
नादान फिर वो जी से भुलाया न जाएगा।
Ab Ke Junoon Mein Fasla Shayad Na Kuchh Rahe,
Daaman Ke Chaak Aur Girebaan Ke Chaak.
अब के जुनूँ में फ़ासला शायद न कुछ रहे,
दामन के चाक और गिरेबाँ के चाक।