- Home
- Chaand Shayari
- Ek Chaand Falak Par
Ek Chaand Falak Par
Ai Kash Hamari Qismat Mein Aisi Bhi Koi Sham Aa Jaye,
Ek Chaand Falak Par Nikla Ho Ek Chhat Par Aa Jaye.
ऐ काश हमारी क़िस्मत में ऐसी भी कोई शाम आ जाए,
एक चाँद फ़लक पर निकला हो एक छत पर आ जाए।
Kyu Meri Tarah Raton Ko Rahta Hai Pareshaan,
Ai Chaand Bata Kis Se Teri Aankh Ladi Hai.
क्यों मेरी तरह रातों को रहता है परेशान,
ऐ चाँद बता किस से तेरी आँख लड़ी है।
Chalo Chaand Ka Kirdaar Apna Len Ham,
Daag Apne Pas Rakhen Aur Roshni Baant Den.
चलो चाँद का किरदार अपना लें हम,
दाग अपने पास रखें और रौशनी बाँट दें।
Raat Bhar Aasmaan Mein Ham Chaand Dhoodhte Rahe,
Chaand Chupke Se Mere Aangan Mein Utar Aaya.
रात भर आसमां में हम चाँद ढूढ़ते रहे,
चाँद चुपके से मेरे आँगन में उतर आया।
Muntazir Hoon Ki Sitaron Ki Jara Aankh Lage,
Chaand Ko Chhat Pe Bula Loonga Ishara Karke.
मुन्तज़िर हूँ कि सितारों की जरा आँख लगे,
चाँद को छत पे बुला लूँगा इशारा करके।
Kabhi To Aasmaan Se Chaand Utre Jaam Ho Jaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsoorat Shaam Ho Jaye.
कभी तो आसमान से चाँद उतरे जाम हो जाए,
तुम्हारे नाम की एक ख़ूबसूरत शाम हो जाए।
Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Saada Laga,
Aasmaan Par Chaand Poora Tha... Magar Aadha Laga.
उसके चेहरे की चमक के सामने सादा लगा,
आसमाँ पर चाँद पूरा था... मगर आधा लगा।