Dard Mein Bhi Muskurane Ki Aadat

Advertisement

Jaan Gaya Wo Hamen Dard Mein Bhi Muskurane Ki Aadat Hai,
Isaliye Wo Roz Naya Duhkh Deta Hai Meri Khushi Ke Liye.

जान गया वो हमें दर्द में भी मुस्कुराने की आदत है,
इसलिए वो रोज़ नया दुःख देता है मेरी ख़ुशी के लिए।

ilaaj-e-Dard-e-Dil Tumse Mere Maseeha Ho Nahi Sakta,
Tum Achha Kar Nahi Sakte Main Achha Ho Nahi Sakta.

इलाजे-दर्दे-दिल तुमसे मेरे मसीहा हो नहीं सकता,
तुम अच्छा कर नहीं सकते मैं अच्छा हो नहीं सकता।

Advertisement

Awaaz Mein Thehraao Tha Ankhon Mein Nami Si Thi,
Aur Kah Raha Tha Maine Sab Kuchh Bhula Diya.

आवाज़ में ठहराव था आँखों में नमी सी थी,
और कह रहा था मैंने सब कुछ भुला दिया।

Zakhm De Kar Na Poochh Dard Ki Shiddat,
Dard To Fir Dard Hai Kam Kya Jyada Kya.

ज़ख्म दे कर ना पूछ तू मेरे दर्द की शिद्दत,
दर्द तो फिर दर्द है कम क्या ज्यादा क्या।

Advertisement
Advertisement