- Home
- Deedar Shayari
Deedar Shayari
Deedaar Kafi Hai, Deedar Shayari
Ye Neendon Ki Hai Khwahish Tera Khwabon Mein Aana,
Najron Ka Kasoor Nahin Jo Tera Deedar Karti Hain.
ये नींदों की है ख्वाहिश तेरा ख्वाबों में आना,
नजरों का कसूर नहीं जो तेरा दीदार करती हैं।
Pyar Ka Mara Hoon, Ek Tera #Deedaar Kafi Hai,
Har Ek Dava Se Behtar, Najar-E-Yaar Kafi Hai.
प्यार का मारा हूँ, एक तेरा #दीदार काफी है,
हर एक दवा से बेहतर, नजर-ए-यार काफी है।
Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain
Khamoshiyan Teri Mujhse Baten Karti Hai,
Meri Har Aah Mera Har Dard Samajhti Hai,
Janta Hoon Majboor Hai Too Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain.
खामोशियाँ तेरी मुझसे बातें करती है,
मेरी हर आह मेरा हर दर्द समझती हैं,
जानता हूँ मजबूर है तू भी और मैं भी,
फिर भी नजरें तेरे दीदार को तरसती हैं।
Tere Deedar Se Pahle
Karzdaar Rahenge Ham Us Hakeem Ke,
Jisne Dava Mein Unka Deedaar Likh Diya.
कर्ज़दार रहेंगे हम उस हकीम के,
जिसने दवा में उनका दीदार लिख दिया।
Sone Laga Hun Tujhe Khwaab Mein Dekhne Ki Hasrat Le Kar,
Dua Karna Koi Jaga Na De... Tere Deedar Se Pahle.
सोने लगा हूँ तुझे ख्वाब में देखने कि हसरत ले कर,
दुआ करना कोई जगा ना दे... तेरे दीदार से पहले।
Deedar Ki Talab
Deedar Ki Talab Ho To Najren Jamaye Rakhna,
KyuKi Nakab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai.
दीदार की तलब हो तो नजरें जमाये रखना,
क्योंकि 'नकाब' हो या 'नसीब' सरकता जरूर है।
Koi Muqadama Hi Kar Do Hamare Sanam Par,
Kam Se Kam Har Peshi Par Deedar To Ho Jayega.
कोई मुक़दमा ही कर दो हमारे सनम पर,
कम से कम हर पेशी पर दीदार तो हो जायेगा।
Tadap Gaye Deedar Ko
Ham Tadap Gaye Aapke Deedar Ko,
Dil Phir Bhi Aapke Liye Dua Karta Hai,
Hamse Achchha To Aapke Ghar Ka Aaeena Hai,
Jo Har Roz Aapka Deedar To Karta Hai.
हम तड़प गये आपके दीदार को,
दिल फिर भी आपके लिए दुआ करता है,
हमसे अच्छा तो आपके घर का आईना है,
जो हर रोज़ आपका दीदार तो करता है।