- Home
- Deedar Shayari
- Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain
Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain
Khamoshiyan Teri Mujhse Baten Karti Hai,
Meri Har Aah Mera Har Dard Samajhti Hai,
Janta Hoon Majboor Hai Too Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain.
खामोशियाँ तेरी मुझसे बातें करती है,
मेरी हर आह मेरा हर दर्द समझती हैं,
जानता हूँ मजबूर है तू भी और मैं भी,
फिर भी नजरें तेरे दीदार को तरसती हैं।
Teri Yaad Mein Har Pal Khoya Hoon Main,
Tujhe Mahasoos Kar Akele Roya Hoon Main,
Na Jaane Kab Tera Deedar Ho,
Is Intzaar Mein Khuli Aankhon Se Soya Hoon Main.
तेरी याद में हर पल खोया हूँ मैं,
तुझे महसूस कर अकेले रोया हूँ मैं,
न जाने कब तेरा दीदार हो,
इस इंतज़ार में खुली आँखों से सोया हूँ मैं।
Jab Achaanak Kabhi Unka #Deedaar Hota Hai,
Dil Mein Dheemi Si #Dhadkan Ruk Jaati Hai,
Itni Khoobsoorat Hain Aankhen Unki,
Ki Nazar Milte Hi Nazar Jhuk Jaati Hai.
जब अचानक कभी उनका #दीदार होता है,
दिल में धीमी सी #धड़कन रुक जाती है,
इतनी खूबसूरत हैं आँखें उनकी,
की नज़र मिलते ही नज़र झुक जाती है।
Aapke Bin Kuchh Bhi Achchha Nahin Lagta,
Ab Mera Vajood Bhi Mujhe Sachcha Nahin Lagta,
Sirf Aapke Deedar Ke Intzaar Mein Kat Rahi Hai Zindagi,
Varna Kab Ki Maut Ke Aagosh Mein So Jaati Ye Zindagi.
आपके बिन कुछ भी अच्छा नहीं लगता,
अब मेरा वजूद भी मुझे सच्चा नहीं लगता,
सिर्फ आपके दीदार के इंतज़ार में कट रही है ज़िन्दगी,
वरना कब की मौत के आगोश में सो जाती ये ज़िंदगी।