- Home
- Dooriyan Shayari
- Dooriyan Badhate Gaye
Dooriyan Badhate Gaye
Ek Sil-sile Kee Ummeed Thee Jinse,
Vahee Faasale Banaate Gaye.
Ham To Paas Aane Ki Koshish Mein The,
Na Jane Kyu Vo Hamse Dooriyan Badhate Gaye.
एक सिल-सिले की उम्मीद थी जिनसे,
वही फ़ासले बनाते गये।
हम तो पास आने की कोशिश में थे,
ना जाने क्यूँ वो हमसे दूरियाँ बढ़ाते गये।
Ye Kaisa Ajab Sa Pyar Hai,
Jismein Na Milne Ki Aas Na Koi Takarar Hai,
Dooriyaan Itani Ki Sahi Na Jayen,
Phir Bhi Nibhane Ki Chaah Barqaraar Hai.
ये कैसा अजब सा प्यार है,
जिसमें ना मिलने की आस ना कोई तकरार है,
दूरियाँ इतनी की सही न जाएँ,
फिर भी निभाने की चाह बरक़रार है।
Na Kabhi Ye Jaan Sake Dooriyaan Kyu Thi,
Jubaan Par The Lafj Phir Wo Majbooriyan Kyu Thi,
Dilon Ki Baten Agar Hakikat Hoti Hain,
Hamare Darmiyan Wo Khamoshiyan Na Hoti,
Bune The Hamne Bhi Kuchh Reshmi Dhagon Se Khvaab,
Magar Hamare Hathon Mein Wo Kaali Doriyan Kyu Thi.
न कभी ये जान सके दूरियां क्यों थी,
जुबान पर थे लफ़्ज फिर वो मजबूरियां क्यों थी,
दिलों की बातें अगर हकीकत होती हैं,
हमारे दरमियाँ वो खामोशियाँ न होती,
बुने थे हमने भी कुछ रेशमी धागों से ख्वाब,
मगर हमारे हाथों में वो काली डोरियां क्यों थी।