- Home
- Gareebi Shayari
- Gareeb Chehra Muskurata Hoga
Gareeb Chehra Muskurata Hoga
Khuda Ke Dil Ko Bhi Sukoon Aata Hoga,
Jab Koi Gareeb Chehra Muskurata Hoga.
खुदा के दिल को भी सुकून आता होगा,
जब कोई गरीब चेहरा मुस्कुराता होगा।
Bahut Jaldi Seekh Lete Hain, Zindagi Ke Sabak,
Gareeb Ke Bachche Baat Baat Par Jid Nahin Karate.
बहुत जल्दी सीख लेते हैं, ज़िन्दगी के सबक,
गरीब के बच्चे बात बात पर जिद नहीं करते।
Wo Roj Roj Nahin Jalta Saahab,
Mandir Ka Diya Thode Hi Hai Gareeb Ka Choolha Hai.
वो रोज रोज नहीं जलता साहब,
मंदिर का दिया थोड़े ही है गरीब का चूल्हा है।
Yoon Na Jhaanka Karo Kisi Gareeb Ke Dil Mein,
Vahaan Hasraten Belibaas Raha Karti Hain.
यूँ न झाँका करो किसी गरीब के दिल में,
वहाँ हसरतें बेलिबास रहा करती हैं।
Saham Uthte Hain Kachche Makan Pani Ke Khauf Se,
Mahlon Ki Aarazoo Ye Hai Ki Barsaat Tej Ho.
सहम उठते हैं कच्चे मकान पानी के खौफ़ से,
महलों की आरज़ू ये है कि बरसात तेज हो।