Apno Par Shayari

Advertisement

Kuchh Khoobasoorat Se Pal Kissa Ban Jaate Hain,
Jane Kab Zindagi Ka Hissa Ban Jaate Hain,
Kuchh Log Apne Hokar Bhi Apne Nahin Hote, Aur
Kuchh Begane Hokar Bhi Jeevan Ka Hissa Ban Jaate Hai.

कुछ खूबसूरत से पल किस्सा बन जाते हैं,
जाने कब जिंदगी का हिस्सा बन जाते हैं,
कुछ लोग अपने होकर भी अपने नहीं होते, और
कुछ बेगाने होकर भी जीवन का हिस्सा बन जाते है।

Chhoti Si Hai Zindagi Hans Ke Jiyo,
Bhula Ke Sare Gam Dil Se Jiyo,
Udasi Mein Kya Rakha Hai Muskura Ke Jiyo,
Apne Liye Na Sahi Apno Ke Liye Jiyo.

छोटी सी है जिंदगी हँस के जियो,
भुला के सारे गम दिल से जियो,
उदासी में क्या रखा है मुस्कुरा के जियो,
अपने लिए न सही अपनों के लिए जियो।

Ai Mere Dil Mat Kar Itni Mohabbat Tu Kisi Se,
Ishq Mein Mila Dard Tu Sah Nahin Payega,
Ek Din Toot Kar Bikhar Jayega Apno Ke Hathon Se,
Kisne Toda Ye Bhi Kisi Se Kah Nahin Payega.

ऐ मेरे दिल मत कर इतनी मोहब्बत तू किसी से,
इश्क़ में मिला दर्द तू सह नहीं पायेगा,
एक दिन टूट कर बिखर जायेगा अपनों के हाथों से,
किसने तोड़ा ये भी किसी से कह नहीं पायेगा।

#Aakhir Kyon Banaya Mujhe E Banane Wale,
Bahut Dard Dete Hain Ye Jamane Wale,
Maine Aag Ke Ujale Mein Kuchh Chehre Dekhe,
Mere Apne Hi The Mere Ghar Ko Jalane Wale.

#आखिर क्यों बनाया मुझे ए बनाने वाले,
बहुत दर्द देते हैं ये जमाने वाले,
मैंने आग के उजाले में कुछ चेहरे देखे,
मेरे अपने ही थे मेरे घर को जलाने वाले।

Kisi Ko Dil Deevaana Pasand Hai,
Kisi Ko Dil Ka #Najraana Pasand Hai,
Auron Ki To Mujhe Khabar Nahi Lekin,
Hame To Apno Ka Muskuraana Pasand Hai.

किसी को दिल दीवाना पसंद है,
किसी को दिल का #नजराना पसंद है,
औरों की तो मुझे ख़बर नही लेकिन,
हमे तो अपनो का मुस्कुराना पसंद है।

Apno Ke Saath Waqt Ka Pata Nahin Chalta,
Par Apno Ka Pata Chalta Hai Waqt Ke Saath,
Waqt Nahin Badalta Apno Ke Saath, Par
Apne Zaroor Badal Jaate Hain Waqt Ke Saath.

अपनों के साथ वक़्त का पता नहीं चलता,
पर अपनों का पता चलता है वक़्त के साथ,
वक़्त नहीं बदलता अपनों के साथ, पर
अपने ज़रूर बदल जाते हैं वक़्त के साथ।

Two Line Apne Shayari -

Thaharti Nahin Zindagi Kabhi Kisi Ke Bina ,
Par Ye Gujarti Bhi Nahi Apno Ke Bina,

ठहरती नहीं ज़िन्दगी कभी किसी के बिना,
पर ये गुजरती भी नही अपनों के बिना।

Jo Saath Chhod De Vo Apne Kaise,
Jo Mukammal Na Hon Vo Sapne Kaise

Advertisement

जो साथ छोड़ दे वो अपने कैसे,
जो मुकम्मल न हों वो सपने कैसे।

Sanson Ka Toot Jana To Bahut Chhoti Si Baat Hai Dosto
Jab Apne Yaad Karna Chhod Den Maut To Use Kahte Hain.

साँसों का टूट जाना तो बहुत छोटी सी बात है दोस्तो,
जब अपने याद करना छोड़ दें मौत तो उसे कहते हैं।

Lakdi Ke Makano Mein Chiragon Ko Na Rakhiye,
Apane Bhi Yahan Aag Bujhane Nahin Aate.

लकड़ी के मकानों में चिरागों को न रखिये,
अपने भी यहाँ आग बुझाने नहीं आते।

Ye Kah Kar Mere Dushman Mujhe Chhod Gaye,
Ki Tere Apne Hi Kaafi Hain Tujhe Rulane Ke Liye

ये कह कर मेरे दुश्मन मुझे छोड़ गए,
कि तेरे अपने ही काफी हैं तुझे रुलाने के लिए।

Zindagi Mein Yah Hunar Bhi Aajamaana Chaahie,
Apnon Se Agar Ho Jang To Haar Jaana Chaahie.

ज़िन्दगी में यह हुनर भी आजमाना चाहिए,
अपनों से अगर हो जंग तो हार जाना चाहिए।

So Ja Ai Dil Ki Ab Bahut Dhundh Hai Shahar Mein Tere,
Apne Dikhte Nahin Aur Jo Dikhte Hain Vo Apne Nahin.

सो जा ऐ दिल कि अब बहुत धुन्ध है शहर में तेरे,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते हैं वो अपने नहीं।

Kuchh Log To Isliye Apne Bane Hain Abhi,
Ki Meri Barbadi Ka Deedaar Najdeek Se Ho.

कुछ लोग तो इसलिये अपने बने हैं अभी,
कि मेरी बर्बादी का दीदार नजदीक से हो।

Gairon Se Muhabbat Hone Lagi Hai Aajkal Mujhe,
Jaise Jaise Apno Ko Aajmaata Ja Raha Hoon.

गैरों से मुहब्बत होने लगी है आजकल मुझे,
जैसे जैसे अपनों को आजमाता जा रहा हूँ।

Apne Aham Ko Thoda-Sa Jhuka Ke Chaliye,
Sab Apne Lagenge Zara-Sa Muskura Ke Chaliye.

अपने अहम् को थोड़ा-सा झुका के चलिये,
सब अपने लगेंगे ज़रा-सा मुस्कुरा के चलिये।

Advertisement
Advertisement