- Home
- ilzaam Shayari
- Koi Ilzaam Na Aaye
Koi Ilzaam Na Aaye
Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye,
Aaj Tak Wo Mujhe Pehchaan Na Paye,
Khud He Kar Li Bewafai Humne,
Taaki Un par Koi Ilzaam Na Aaye.
जान कर भी वो मुझे जान न पाए,
आज तक वो मुझे पहचान न पाए,
खुद ही कर ली बेवफाई हमने,
ताकि उन पर कोई इलज़ाम न आये।
Galtiyon Se Anjaan Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi,
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi,
Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi।
गलतियों से अंजान तू भी नहीं, मैं भी नहीं
दोनों इंसान हैं, खुदा तू भी नहीं, मैं भी नहीं,
तू मुझे और मैं तुझे इल्ज़ाम देता हूँ मगर,
अपने अंदर झाँकता तू भी नहीं, मैं भी नही।
Kismaten Badal Jaati Hai,
Jab Zindagi Ka Koi Maksad Ho,
Varna Zindagi To Kat Hi Jaati Hai,
Takdeer Ko Iljaam Dete Dete.
किस्मतें बदल जाती है,
जब ज़िन्दगी का कोई मकसद हो,
वरना ज़िन्दगी तो कट ही जाती है,
तकदीर को इल्जाम देते देते।