- Home
- Insaniyat Shayari
Insaniyat Shayari
Insaniyat Dil Me Hoti Hai
Insaniyat Dil Me Hoti Hai Haisiyat Me Nahi,
Uparvala Karm Dekhta Hai Vaseeyat Ko Nahi.
इंसानियत दिल मे होती है हैसियत मे नही,
उपरवाला कर्म देखता है वसीयत को नही।
Khat Jo Likha Maine Insaniyat Ke Pate Par,
Dakiya Hi Chal Basa Shahar Dhundhte Dhundhte.
ख़त जो लिखा मैनें इंसानियत के पते पर,
डाकिया ही चल बसा शहर ढूंढ़ते ढूंढ़ते।
Advertisement
Har Haath Mein Khanjar
Har Haath Mein Khanjar,
Har Dil Me Ek Chor Kyun Hai?
Aaine Ke Samne Main Hun,
Magar Aaine Mein Koi Aur Kyun Hai?
Insaan Hain Sbhi To Insaniyat Kyu Nahi Hai?
Ya Unme Dil Nahi Hai,
Aur Hai To Itna Shakht Kyun?
हर हाथ में खंजर,
हर दिल में एक चोर क्यों है?
आईने के सामने मैं हूँ,
मगर आईने में कोई और क्यों है?
इंसान हैं सभी तो इंसानियत क्यों नहीं है?
या उनमें दिल नहीं है,
और है तो इतना शख्त क्यों?
Advertisement