- Home
- Intezaar Shayari
Shayari about Intezaar (Waiting)
Ek Raat Wo Gaya...
Ek Raat Wo Gaya Tha Jahan Baat Rok Ke,
Ab Tak Ruka Hua Hoon Wahin Raat Rok Ke.
एक रात वो गया था जहाँ बात रोक के,
अब तक रुका हुआ हूँ वहीं रात रोक के।
Unka Inezaar Kiya...
Jhuki Hui Palkon Se Unka Deedaar Kiya,
Sab Kuchh Bhula Ke Unka Inezaar Kiya
Wo Jaan Hi Na Paye Jajbaat Mere,
Maine Sabse Jyada Jinhen Pyar Kiya.
झुकी हुई पलकों से उनका दीदार किया,
सब कुछ भुला के उनका इंतजार किया
वो जान ही न पाए जज्बात मेरे,
मैंने सबसे ज्यादा जिन्हें प्यार किया।
Kin Lafjon Mein Likhoon...
Kin Lafjon Mein Likhoon Main Apne Intezaar Ko Tumhen,
Bejuban Hai Ishq Mera Dhoondhta Hai Khamoshi Se Tujhe.
किन लफ्जों में लिखूँ मैं अपने इन्तजार को तुम्हें,
बेजुबां है इश्क़ मेरा ढूँढता है खामोशी से तुझे।
ankhon Ko Intezaar...
Aankhon Ko Intezaar Ki Bhatti Pe Rakh Diya,
Maine Diye Ko Aandhi Ki Marzi Pe Rakh Diya.
आँखों को इंतज़ार की भट्टी पे रख दिया,
मैंने दिये को आँधी की मर्ज़ी पे रख दिया।
Kaheen wo Aa Ke Mita De Na Intezaar Ka Lutf,
Kaheen Qubool Na Ho Jaye Iltija Meri.
कहीं वो आ के मिटा दें न इंतज़ार का लुत्फ़,
कहीं क़ुबूल न हो जाए इल्तिजा मेरी।
Intezaar To Hai...
Jeene Ki Khwaish Me Har Roz Marte Hain,
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain,
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada,
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain.
जीने की ख्वाइश में हर रोज़ मरते हैं,
वो आये न आये हम इंतज़ार करते हैं,
जूठा ही सही मेरे यार का वादा,
हम सच मानकर ऐतबार करते हैं।