- Home
- Ishq Shayari
Ishq Shayari
Ishq Bura To Nahi Manoge
Inkrar Jaisi Lajjat Iqraar Mein Kahan,
Badhta Raha Ishq, Uski Nahi-Nahi Se.
इंकार जैसी लज्जत इकरार में कहाँ,
बढ़ता रहा इश्क, उसकी नहीं नहीं से।
Ik Baat Kahoon Ishq Bura To Nahi Manoge,
Bahut Maje Ke The Din, Teri Pahchaan Se Pehle.
इक बात कहूँ इश्क बुरा तो नही मानोगे,
बहुत मजे के थे दिन, तेरी पहचान से पहले।
Ajab Jajba Hai Javani Mai Ishq Karne Ka,
Umr Jeene Ki Hai Or Shauk Marne Ka.
अजब जज्बा है जवानी मै इश्क़ करने का,
उम्र जीने की है ओर शौक मरने का।
Ishq Shayari, Tujhe Bhi Ishq Hoga
Gumaan Na Kar Apni Khush-Naseebi Ka,
Khuda Ne Gar Chaha To Tujhe Bhi Ishq Hoga.
गुमान न कर अपनी खुश-नसीबी का,
खुदा ने गर चाहा तो तुझे भी इश्क होगा।
Tere Ishq Se Mili Hai Mere Wajood Ko Ye Shauharat,
Mera Zikr Hi Kahaan Tha Teri Dastaan Se Pehle.
तेरे इश्क से मिली है मेरे वजूद को ये शौहरत,
मेरा जिक्र ही कहाँ था तेरी दास्ताँ से पहले।
Ishq Ke Phool Khilte Hain
Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri Khoobsurat Aankhon Mein,
Jahaan Dekhe Tu Ek Najar Wahaan Khushboo Bikhar Jaaye.
इश्क के फूल खिलते हैं तेरी खूबसूरत आंखों में,
जहां देखे तू एक नजर वहां खुशबू बिखर जाए।
Shayad Ab Ishq Utar Raha Hai Sar Se,
Mujhe Alfaaz Nahin Milte Shayari Ke Liye.
शायद अब इश्क उतर रहा है सर से,
मुझे अल्फाज नहीं मिलते शायरी के लिए।
Asar Tere Ishq Ka
Jo Fhana Ho Jaoon Teri Chahat Mein
To Guroor Na Karna…
Ye Asar Nahi Tere Ishq Ka
Meri Diwanagi Ka Hunar Hai.
जो फना हो जाऊँ तेरी चाहत मे
तो गुरूर ना करना…
ये असर नही तेरे इश्क का
मेरी दिवानगी का हुनर है।
Chand Lafjo Ki Takalluf Mein
Ye Ishq Ruk Sa Gaya Hai,
Vo Ikraar Pe Rooke Rahe
Aur Ham Intjaar Mein.
चंद लफ्जो की तकल्लुफ में
ये इश्क रुक सा गया है,
वो इकरार पे रूके रहे
और हम इन्तजार मे।
Phir Vahi Ishq
Hue Badnaam Magar Phir Bhi Na Sudhar Pae Ham,
Phir Vahi Shayari, Phir Vahi Ishq, Phir Vahi Tum.
हुए बदनाम मगर फिर भी न सुधर पाए हम,
फिर वही शायरी, फिर वही इश्क, फिर वही तुम।
Ek Zamane Se Ishq Kaayam Hai Apne Hi Usoolon Par,
Ye Kal Bhi Takleef Deta Tha Aur Aaj Bhi Deta Hai.
एक ज़माने से इश्क़ कायम है अपने ही उसूलों पर,
ये कल भी तकलीफ देता था और आज भी देता है।