- Home
- Khamoshi Shayari
Khamoshi Shayari
Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain
Mana Ki Tum Lafzon Ke Baadsah Ho Lekin,
Hum Bhi Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain.
माना की तुम लफ़्ज़ों के बादशाह हो लेकिन,
हम भी खामोशियों पर राज करते हैं।
Fursat Nahi Unhe Humse Baat Karne Ki,
Isliye Ab Har Waqt Khamosh Rehte Hain.
फुर्सत नहीं उन्हें हमसे बात करने की,
इसलिए अब हर वक्त खामोश रहते हैं।
Sirf Aawaaz Aur Alfaaz Hi Nahin,
Meri Khamoshi Bhi Tumhen Pukaarti Hai.
सिर्फ़ आवाज और अल्फाज ही नहीं,
मेरी खामोशी भी तुम्हें पुकारती है।
Kamoshi Shayari, Main Khamoshi Hoon
Main Khamoshi Hoon Tere Man Ki,
Tu Ankahaa Alfaaz Mera,
Main Ek Uljha Lamha Hoon,
Tu Rutha Hua Halaat Mera.
मैं खामोशी हूँ तेरे मन की,
तू अनकहा अलफाज मेरा,
मैं एक उलझा लम्हा हूँ,
तू रूठा हुआ हालात मेरा।
Kaun Kahta Hai Ki
Dil Sirf Lafjon Se Dukhaya Jata Hai,
Teri Khamoshi Bhi
Kabhi Kabhi Aankhen Nam Kar Deti Hai.
कौन कहता है कि
दिल सिर्फ लफ्जों से दुखाया जाता है,
तेरी खामोशी भी
कभी कभी आँखें नम कर देती है।
Khamoshi Kuchh Kehti Hai
Khamoshi Bahut Kuchh Kehti Hai,
Kaan Lagakar Nahin, Dil Lagakar Suno.
खामोशी बहुत कुछ कहती है,
कान लगाकर नहीं, दिल लगाकर सुनो।
Khamoshi Chhupaati Hai Aib Aur Hunar Donon,
Shakhsiyat Ka Andaaza Guftgoo Se Hota Hai.
खामोशी छुपाती है ऐब और हुनर दोनों,
शख्सियत का अंदाजा गुफ्तगू से होता है।
Teri Khamoshi
Teri Khamoshi Jala Deti Hai Is Dil Ki Hasarato Ko,
Baaki Saari Baten Achchhi Hain Teri Tashveer Mein.
तेरी खामोशी जला देती है इस दिल की हसरतो को,
बाकी सारी बातें अच्छी हैं तेरी तश्वीर में।
Khamosiyaan Kar De Bayaan To Alag Baat Hai,
Kuch Dard Hai Jo Lafjo Me Utare Nahi Jate.
खामोशियाँ कर दें बयाँ तो अलग बात है,
कुछ दर्द है जो लफ्जो में उतारे नहीं जाते।
Khamoshi Se Dard Ko Sehna
Uske Bina Ab ChupChup Rehna Achha Lagta Hai,
Khamoshi Se Dard Ko Sehna Achha Lagta Hai,
Jis Hasti Ki Yaad Mein Din Bhar Aansoo Behte Hain,
Saamne Us Ke Kuch Na Kehna Achha Lagta Hai,
Mil Ker Us Se Bichad Na Jaon Darti Rehti Hoon,
Isliye Bas Door Hi Rehna Achha Lagta Hai.
उसके बिना अब चुपचुप रहना अच्छा लगता है,
ख़ामोशी से दर्द को सहना अच्छा लगता है,
जिस हस्ती की याद में दिन भर आंसू बहते हैं,
सामने उस के कुछ न कहना अच्छा लगता है,
मिल कर उस से बिछड़ न जाऊं डरती रहती हूँ,
इसलिए बस दूर ही रहना अच्छा लगता है।