- Home
- Maa Shayari
- Maa Sazde Mein Rahti Hai
Maa Sazde Mein Rahti Hai
Ai Raat Mujhe Maa Ki Tarah God Mein Le Le Aaj,
Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Toot Raha Hai.
ऐ रात मुझे माँ की तरह गोद में ले ले आज,
दिन भर की मशक़्क़त से बदन टूट रहा है।
Ye Aisa Karz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahin Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Lautu, Meri Maa Sazde Mein Rahti Hai
ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है।
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dekhi Hai,
Maine Jannat To Nahin Dekhi Hai Maa Dekh Hai.
चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Pahle Ye Kaam Bade Pyar Se Maa Karti Thi,
Ab Hamen Dhoop Jagati Hai To Duhkh Hota Hai.
पहले ये काम बड़े प्यार से माँ करती थी,
अब हमें धूप जगाती है तो दुःख होता है।
Mujhe Bas Is Liye Achchhi Bahar Lagti Hai,
Ki Ye Bhi Maa Ki Tarah Khushgawar Lagti Hai.
मुझे बस इस लिए अच्छी बहार लगती है,
कि ये भी माँ की तरह ख़ुशगवार लगती है।
Bheje Gaye Farishte Hamare Bachav Ko,
Jab Hua Hadasaat Maa Ki Dua Se Ulajh Pade.
भेजे गए फ़रिश्ते हमारे बचाव को,
जब हुआ हादसात माँ की दुआ से उलझ पड़े।