- Home
- Maa Shayari
- Maa Teri Yaad Satati Hai
Maa Teri Yaad Satati Hai
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
माँ तेरी याद सताती है मेरे पास आ जाओ,
थक गया हूँ मुझे अपने आँचल मे सुलाओ,
उंगलियाँ अपनी फेर कर बालो में मेरे,
एक बार फिर से बचपन कि लोरियां सुनाओ।
Thokar Na Maar Mujhe Patthar Nahi Hun Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hun Main.
Teri Nazaron Me Meri Kadar Kuchh Bhi Nahi,
Meri Maa Se Pooch Uske Liye Kya Nahi Hun Main.
ठोकर न मार मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से न देख मुझे मंज़र नहीं हूँ मैं,
तेरी नज़रों में मेरी क़दर कुछ भी नहीं,
मेरी माँ से पूछ उसके लिए क्या नहीं हूँ मैं।
Din Ki Roshni Khwabon Ko Banane Mein Gujar Gayi,
Raat Ki Neend Bachche Ko Sulane Mein Gujar Gayi,
Jis Makaan Mein Tere Naam Ki Takhti Bhi Nahi Hai,
Saari Umar Uss Makaan Ko Banane Mein Gujar Gayi.
दिन की रौशनी ख्वाबो को बनाने मे गुजर गयी,
रात की नींद बच्चे को सुलाने मे गुजर गयी,
जिस मकान मे तेरे नाम की तख्ती भी नहीं है,
सारी उम्र उस मकान को बनाने मे गुजर गयी।