- Home
- Maa Shayari
- Page-2
Maa Shayari
Maa Shayari, Jaan Hatheli Par
Yun Hi Nahin Goonjti Kilakariyan Ghar Aangan Ke Kone Mein,
Jaan Hatheli Par Rakhni Padti Hai "Maa" Ko "Maa" Hone Mein.
यूं ही नहीं गूंजती किलकारियां घर आँगन के कोने में,
जान हथेली पर रखनी पड़ती है "माँ" को "माँ" होने में।
Jab Jab Kagaz Par Likha, Maine "Maa" Ka Naam,
Kalam Adab Se Bol Uthi, Ho Gaye Chaaro Dham.
जब जब कागज पर लिखा, मैने "माँ" का नाम,
कलम अदब से बोल उठी, हो गये चारो धाम।
Maa Shayari, Muskurati Huyi Maa
Jiske Hone Se Main Khud Ko Mukkammal Maanta Hoon,
Mere Rab Ke Baad Main Bas Apni Maa Ko Janta Hoon.
जिसके होने से मैं खुद को मुक्कम्मल मानता हूँ,
मेरे रब के बाद मैं बस अपनी माँ को जानता हूँ।
Khoobsurti Ki Intha Bepanah Dekhi,
Jab Maine Muskurati Huyi Maa Dekhi.
खूबसूरती की इंतहा बेपनाह देखी,
जब मैंने मुस्कुराती हुई माँ देखी।
Maa Teri Yaad Satati Hai
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
माँ तेरी याद सताती है मेरे पास आ जाओ,
थक गया हूँ मुझे अपने आँचल मे सुलाओ,
उंगलियाँ अपनी फेर कर बालो में मेरे,
एक बार फिर से बचपन कि लोरियां सुनाओ।
Tifin Rakhti Hai Meri Maa
Kitaabon Se Nikal Kar Titaliyaan Gazalen Sunati Hain,
Tifin Rakhti Hai Meri Maa To Basta Muskuraata Hai.
किताबों से निकल कर तितलियाँ ग़ज़लें सुनाती हैं,
टिफ़िन रखती है मेरी माँ तो बस्ता मुस्कुराता है।
Kadam Jab Choomle Manzil To Jazba Muskurata Hai,
Dua Lekar Chalo Maa Ki To Rasta Muskurata Hai.
कदम जब चूमले मंज़िल तो जज़्बा मुस्कुराता है,
दुआ लेकर चलो माँ की तो रस्ता मुस्कुराता है।
Maa Sazde Mein Rahti Hai
Ai Raat Mujhe Maa Ki Tarah God Mein Le Le Aaj,
Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Toot Raha Hai.
ऐ रात मुझे माँ की तरह गोद में ले ले आज,
दिन भर की मशक़्क़त से बदन टूट रहा है।
Ye Aisa Karz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahin Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Lautu, Meri Maa Sazde Mein Rahti Hai
ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है।