- Home
- Maut Shayari
- Maut Se Keh Do
Maut Se Keh Do
Maut Se Keh Do Ki Hum Se Naraazgi Khatam Kar Le Ab,
Wo Bhi Bahut Badal Gaye Hain Jinke Liye Jiya Karte The Hum.
मौत से कह दो की हम से नाराज़गी खत्म कर ले अब,
वह भी बहुत बदल गए हैं जिनके लिए जिया करते थे हम।
Aashiq Marte Nahin Sirf Dafnae Jaate Hain,
Kabr Khod Kar Dekho Intzaar Mein Paye Jaate Hain.
आशिक़ मरते नहीं सिर्फ दफनाए जाते हैं,
कब्र खोद कर देखो इंतज़ार में पाए जाते हैं।
Intezaar Hai Hamen To Bas Apni Maut Ka,
Unka Vada Hai Ki Us Din Mulakaat Hogi.
इंतज़ार है हमें तो बस अपनी मौत का,
उनका वादा है कि उस दिन मुलाकात होगी।
Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne,
Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya.
पलकें खुली सुबह तो यह जाना हमने,
मौत ने आज फिर से हमें ज़िन्दगी के हवाले कर दिया।
Log Kahte Hain Ki Ladkiyan Zindagi Hoti Hain Maut Nahi,
Magar Wo Kya Jane Ki Dhoka Bhi Zindagi Deti Hai Maut Nahi.
लोग कहते हैं कि लड़कियां ज़िन्दगी होती हैं मौत नहीं,
मगर वह क्या जाने की ढोका भी ज़िन्दगी देती है मौत नहीं।
Rukhasat Hue Teri Gali Se Ham Aaj Kuchh Is Kadar,
Logo Ke Muh Pe Raam Naam Tha Aur Mere Dil Mein Bas Tera Naam.
रुखसत हुए तेरी गली से हम आज कुछ इस कदर,
लोगो के मुह पे राम नाम था और मेरे दिल में बस तेरा नाम।