Nafrat Shayari

Nafrat Ka Dharna

Tum Nafrat Ka Dharna Kayamat Tak Jari Rakho,
Main Pyar Ka Isteefa Zindagi Bhar Nahin Doonga.

तुम नफरत का धरना कयामत तक जारी रखो,
मैं प्यार का इस्तीफा जिंदगी भर नहीं दूंगा।

Nafrat Shayari - Nafrat Ka Dharna

Nafraton Ke Jahan Mein Hamko Pyar Ki Bastiyan Basani Hain,
Door Rahna Koi Kamaal Nahin, Pas Aao To Koi Baat Bane.

नफरतों के जहां में हमको प्यार की बस्तियां बसानी हैं,
दूर रहना कोई कमाल नहीं, पास आओ तो कोई बात बने।

Mahobbat Aur Napharat Sab Mil Chuke Hain Mujhe,
Main Ab Takareeban Mukammal Ho Chuka Hoon.

महोब्बत और नफरत सब मिल चुके हैं मुझे,
मैं अब तकरीबन मुकम्मल हो चुका हूँ।

Mohabbat Karne Se Fursat Nahin Mili Dosto...
Varna Ham Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.

मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली दोस्तो...
वरना हम करके बताते नफरत किसको कहते हैं।

Jab Nafrat Karte Karte Thak Jao,
Tab Ek Mauka Pyar Ko Bhi Dena.

जब नफरत करते करते थक जाओ,
तब एक मौका प्यार को भी देना।

Kuch Is Ada Se Nibhana Hai Kirdaar Mera Mujhko,
Jinhen Muhabbat Na Ho Mujhse Wo Nafrat Bhi Na Kar Sake.

कुछ इस अदा से निभाना है किरदार मेरा मुझको,
जिन्हें मुहब्बत ना हो मुझसे वो नफरत भी ना कर सके।

Advertisement

Nafrat Ho Jayegi Tujhe

Nafrat Ho Jayegi Tujhe Apne Hi Kiradaar Se,
Agar Main Tere Hi Andaj Mein Tujhse Baat Karun.

नफ़रत हो जायेगी तुझे अपने ही किरदार से,
अगर मैं तेरे ही अंदाज में तुझसे बात करुं।

Dekh Kar Usko Tera Yun Palat Jaana,
Nafrat Bata Rahi Hai Toone Ishq Bemisaal Kiya Tha.

देख कर उसको तेरा यूँ पलट जाना,
नफरत बता रही है तूने इश्क बेमिसाल किया था।

Tujhe Pyar Bhi Teri Aukat Se Jyaada Kiya Tha,
Ab Baat Nafrat Ki Hai To Nafrat Hi Sahi.

तुझे प्यार भी तेरी औकात से ज्यादा किया था,
अब बात नफरत की है तो नफरत ही सही।

Hamen Barbaad Karna Hai To Hamse Pyar Karo,
Nafarat Karoge To Khud Barbaad Ho Jaoge.

हमें बरबाद करना है तो हमसे प्यार करो,
नफरत करोगे तो खुद बरबाद हो जाओगे।

Haan Mujhe Rasm-E-Mohabbat Ka Saleeqa Hi Nahin,
Ja Kisi Aur Ka Hone Ki Ijaazat Hai Tujhe.

हाँ मुझे रस्म-ए-मोहब्बत का सलीक़ा ही नहीं,
जा किसी और का होने की इजाज़त है तुझे।

Advertisement

Nafrat Hai Hamse

Agar Itni Hi Nafrat Hai Hamse To,
Dil Se Kuchh Aisee Dua Karo,
Ki Aaj Hi Tumhari Dua Bhi Poori Ho Jaaye,
Aur Hamari Zindagi Bhi.

अगर इतनी ही नफरत है हमसे तो,
दिल से कुछ ऐसी दुआ करो,
की आज ही तुम्हारी दुआ भी पूरी हो जाये,
और हमारी ज़िन्दगी भी।

Nafrat Shayari In Hindi For Girlfriend

Kabhi Usne Bhi Hamen Mohabbat Ka Paigaam Likha Tha,
Sab Kuchh Usne Apna Hamare Naam Likha Tha,
Suna Hai Aaj Unko Hamare Jikr Se Bhi Nafarat Hai,
Jisne Kabhi Apne Dil Par Hamara Naam Likha Tha.

कभी उसने भी हमें मोहब्बत का पैगाम लिखा था,
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,
सुना है आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है,
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।

Usne Nafrat Se Jo Dekha Hai To Yaad Aaya,
Kitne Rishte Uski Khatir Yun Hi Tod Aaya Hun,
Kitne Dhundhle Hain Ye Chehre Jinhen Apnaya Hai,
Kitni Ujli Thi Wo Aankhen Jinhen Chhod Aaya Hun.

उसने नफ़रत से जो देखा है तो याद आया,
कितने रिश्ते उसकी ख़ातिर यूँ ही तोड़ आया हूँ,
कितने धुंधले हैं ये चेहरे जिन्हें अपनाया है,
कितनी उजली थी वो आँखें जिन्हें छोड़ आया हूँ।

Advertisement

Nafrat Karo Ya Mohabbat

Tum Nafrat Karo Ya Mohabbat,
Dono Hamare Haq Mein Behtar Hain,
Nafrat Karoge To Ham Tumhare Dimag Mein,
Mohabbat Karoge To Dil Mein Bas Jayenge.

तुम नफरत करो या मोहब्बत,
दोनों हमारे हक में बेहतर हैं,
नफरत करोगे तो हम तुम्हारे दिमाग में,
मोहब्बत करोगे तो दिल में बस जायेंगे।

Gujare Hain Ishq Mein Ham Is Mukaam Se
Nafrat Si Ho Gai Hai Mohabbat Ke Naam Se
Ham Wo Nahin Jo Mohabbat Mein Ro Kar Ke
Zindagi Ko Gujaar De...
Agar Parchhai Bhi Teri Najar Aa Jaye
To Use Bhi Thokar Maar Den.

गुजरे हैं इश्क़ में हम इस मुकाम से
नफरत सी हो गई है मोहब्बत के नाम से
हम वो नहीं जो मोहब्बत में रो कर के
जिंदगी को गुजार दे...
अगर परछाई भी तेरी नजर आ जाए
तो उसे भी ठोकर मार दें।

Khuda Salamat Rakhna Unhen,
Jo Hamase Nafrat Karte Hain,
Pyar Na Sahi Nafrat Hi Sahi,
Kuchh To Hai Jo Wo Hamse Karte Hain.

खुदा सलामत रखना उन्हें,
जो हमसे नफरत करते हैं,
प्यार न सही नफरत ही सही,
कुछ तो है जो वो हमसे करते हैं।

Advertisement

Na Nafraten Paali Gayi

Na Mohabbat Sambhali Gayi, Na Nafraten Paali Gayi,
Afsos Hai Us Jindagi Ka, Jo Tere Peechhe Khali Gayi.

न मोहब्बत संभाली गई, न नफरतें पाली गईं,
अफसोस है उस जिंदगी का, जो तेरे पीछे खाली गई।

Nafrat Shayari - Na Nafraten Paali Gayin

Mohabbat Karne Se Fursat Nahin Mili Yaaro,
Varna Ham Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.

मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली यारो,
वरना हम करके बताते नफरत किसको कहते है।

Ehsaas Badal Jaate Hain Bas Aur Kuchh Nahin,
Varna Nafrat Aur Mohabbat Ek Hi Dil Mein Hoti Hai.

एहसास बदल जाते हैं बस और कुछ नहीं,
वरना नफरत और मोहब्बत एक ही दिल में होती है।

Kuchh Juda Sa Hai Mere Mahaboob Ka Andaaz,
Najar Bhi Mujh Par Hai Aur Nafrat Bhi Mujhse Hi.

कुछ जुदा सा है मेरे महबूब का अंदाज,
नजर भी मुझ पर है और नफरत भी मुझसे ही।

Wo Nafraten Paale Rahe Ham Pyar Nibhate Rahe,
Lo Ye Zindagi Bhi Kat Gayi Khali Haath Si.

वो नफरतें पाले रहे हम प्यार निभाते रहे,
लो ये जिंदगी भी कट गयी खाली हाथ सी।

Phir Yoon Hua Ke Gair Ko Dil Se Laga Liya,
Andar Wo Nafaraten Thi Ke Baahar Ke Ho Gaye.

फिर यूँ हुआ के गैर को दिल से लगा लिया,
अंदर वो नफरतें थी के बाहर के हो गये।