- Home
- Page-11
SHAYARIFY
Har Galti Maaf Ho Jati Hai
Har Ghadi Ka Ye Bigadna Nahin Achchha Ai Jaan,
Roothne Ka Bhi Koi Waqt Muqarrar Ho Jaye.
हर घड़ी का ये बिगड़ना नहीं अच्छा ऐ जान,
रूठने का भी कोई वक़्त मुक़र्रर हो जाए।
Mere Dil Se Uski Har Galti Maaf Ho Jati Hai,
Jab Vo Muskura Ke Poochhti Hai, Naraj Ho Kya?
मेरे दिल से उसकी हर गलती माफ़ हो जाती है,
जब वो मुस्कुरा के पूछती है, नाराज हो क्या?
Alma Ikwal Shayari Collection
Khudi Ko Kar Buland Itna Ki Har Taqdeer Se Pahle,
Khuda Bande Se Khud Poochhe Bata Teri Raza Kya Hai.
ख़ुदी को कर बुलंद इतना कि हर तक़दीर से पहले,
ख़ुदा बंदे से ख़ुद पूछे बता तेरी रज़ा क्या है।
Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain,
Abhi Ishq Ke Imthaan Aur Bhi Hain.
सितारों से आगे जहाँ और भी हैं,
अभी इश्क़ के इम्तिहाँ और भी हैं।
माना कि तेरी दीद के क़ाबिल नहीं हूँ मैं,
तू मेरा शौक़ देख मिरा इंतिज़ार देख।
Aankhein Shayari, Aankhon Ki Baat Hai
Aankhon Ki Baat Hai, Aankhon Ko Hi Kehne Do,
Kuchh Lafz Labon Par, Maile Ho Jaate Hain.
आँखों की बात है, आँखों को ही कहने दो,
कुछ लफ़्ज लबों पर, मैले हो जाते हैं…।
Ladne Ko Dil Jo Chaahe To Aankhen Ladayie,
Ho Jang Bhi Agar To Mazedaar Jang Ho.
लड़ने को दिल जो चाहे तो आँखें लड़ाइए,
हो जंग भी अगर तो मज़ेदार जंग हो।
Tears Shayari, Meri Aansoo Bhari Aankhein
Rone Pe Agar Aaoon To Dariya Ko Dubo Doon,
Qatra Koi Samjhe Na Meri Aansoo Bhari Aankhon Ko.
रोने पे अगर आऊँ तो दरिया को डुबो दूँ,
कतरा कोई समझे न मेरी आँसू भरी आँखों को।
Thame Aansoo To Phir Tum Shauq Se Ghar Ko Chale Jana,
Kahaan Jaate Ho Is Toofaan Mein, Paani Jara Thehare To.
थमे आँसू तो फिर तुम शौक से घर को चले जाना,
कहाँ जाते हो इस तूफान में, पानी जरा ठहरे तो।
Beauty Shayari, Ye Pankhudi Se Honth
Tujh Sa Koi Jahaan Mein Nazuk-Badan Kahan,
Ye Pankhudi Se Honthh Ye Gul Sa Badan Kahan.
तुझसा कोई जहाँ में नाज़ुक-बदन कहाँ,
ये पंखुड़ी से होंठ ये गुल सा बदन कहाँ।
Dekhe Hansi Hain Saikadon Lekin Nahin Tera Jawaab,
Dilbari Mein Ada Mein Naaz Mein Andaaz Mein.
देखे हंसी हैं सैकड़ों लेकिन नहीं तेरा जवाब,
दिलबरी में अदा में नाज में अंदाज में।
Hum Ishq Mein Hain Maahir To Tum Husn Mein BeMisaal,
Hum Sa Bhi Nahin Ek Jo Tum Sa Nahin Koi.
हम इश्क में हैं माहिर तो तुम हुस्न में बेमिसाल,
हम सा भी नहीं एक जो तुम सा नहीं कोई।