- Home
- Page-13
SHAYARIFY
Daag Dehlvi Shayari Collection
Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Par Humein Aitbaar Hota.
तेरे वादे पर सितमगर अभी और सब्र करते,
अगर अपनी जिन्दगी पर हमें एतबार होता।
Maut Ko Dosh Dein, Takdeer Ko Royein, Mujhe Kosein,
Mere Qatil Ka Charcha Kyun Hai Mere Sogwaaron Mein.
मौत को दोष दें, तकदीर को रोयें, मुझे कोसें
मेरे कातिल का चर्चा क्यों है मेरे सोगवारों में।
Aur Honge Teri Mehfil Se Ubharne Wale,
Hazrat-e-Daag Jahaan Baith Gaye Baith Gaye.
और होंगे तिरी महफ़िल से उभरने वाले,
हज़रत-ए-दाग़ जहाँ बैठ गए बैठ गए।
Umr Bhar Ka Safar
Aawaz De Ke Dekh Lo
Shayad Wo Mil Hi Jaaye
Varna Ye Umr Bhar Ka Safar
Mumkin Nahin.
आवाज दे के देख लो
शायद वो मिल ही जाये
वर्ना ये उम्र भर का सफ़र
मुमकिन नहीं।
Jaane Wale Jate Ho To
Jaao Bade Shauk Se,
Humne Bhi Palat Kar Dekhna
Ab Chhod Diya Hai.
जाने वाले जाते हो तो
जाओ बड़े शौक से,
हमने भी पलट कर देखना
अब छोड़ दिया है।
Malaal Nahin Adhoori Khwahishon Ka
Malaal Nahin Hai Adhoori Khwahishon Ka Koi,
Tere Bagair Zindagi Mein Aarzoo Bhi Kya Thi.
मलाल नहीं है अधूरी ख्वाहिशों का कोई,
तेरे बगैर जिन्दगी में आरजू भी क्या थी।
Rang Baatein Karein Aur Baaton Se Khusboo Aaye,
Dard Phoolon Ki Tarah Maheke Agar Tu Aaye.
रंग बातें करे और बातों से खुसबू आये
दर्द फूलों की तरह महके अगर तू आये।
Logon Ka Guroor Todna Hai
Mashoor Hone Ka Koi Shauk Nahin Mujhko,
Bas Yoonhi Kuchh Logon Ka Guroor Todna Hai.
मशहूर होने का कोई शौक नहीं मुझकों,
बस यूंही कुछ लोगों का गुरूर तोड़ना हैं।
Mushkilon Se Kah Do Uljha Na Kare Hamse,
Har Halaat Mein Jeene Ka Hunar Aata Hai Hamen.
मुश्किलों से कह दो उलझा न करे हमसे,
हर हालात में जीने का हुनर आता है हमें।
Mohabbat Ke Do Meethe Bol Se Khareed Lo Mujhe,
Daulat Ki Sochoge To Poori Duniya Bechani Padegi.
मोहब्बत के दो मीठे बोल से खरीद लो मुझे,
दौलत की सोचोगे तो पूरी दुनिया बेचनी पड़ेगी।
Tareef Karoon Ya Chup Rahoon
Kuchh Aapka Andaaz Hai Kuchh Mausam Rangeen Hai,
Tareef Karoon Ya Chup Rahoon Jurm Dono Sangeen Hai.
कुछ आपका अंदाज है कुछ मौसम रंगीन है,
तारीफ करूँ या चुप रहूँ जुर्म दोनो संगीन है।
Lafzon Ki Kami Ho Gayi Hai Paas Hamare Varana,
Kabeel-e-Tareef To Bahut Kuchh Hai Aap Mein.
लफ्ज़ों की कमी हो गई है पास हमारे वरना,
काबिले तारीफ तो बहुत कुछ है आप में।