SHAYARIFY

Shayari Tanhaai Ki Raaton Ka Sahara

Kuchh To Tanhaai Ki Raaton Mein Sahara Hota,
Tum Na Hote Na Sahi Zikr Tumhaara Hota.
कुछ तो तन्हाई की रातों में सहारा होता,
तुम न होते न सही ज़िक्र तुम्हारा होता।

Syaah Ratein, Mayoosi, Aansoo, Lachari, Tanhaai,
Mohabbat De Ya Kar Maut Ka Intazam Zindagi.
स्याह रातें, मायूसी, आँसू, लाचारी, तन्हाई,
मोहब्बत दे या कर मौत का इंतज़ाम जिंदगी।

Ek Tere Siva Aur Kaun Hai Mera,
Fir Tanha Kiske Sahare Chhod Dete Ho.
एक तेरे सिवा और कौन है मेरा,
फ़िर तन्हा किसके सहारे छोड़ देते हो।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Shayari Tanhaiyon Mein Jagee Hai Chaahat

Tanhaiyon Mein Jagee Hai Ajeeb Si Chaahat Meri,
Kabhi Is Sannate Ke Beech Mujhe Tum Pukaar Lo.
तन्हाइयों में जगी है अजीब सी चाहत मेरी,
कभी इस सन्नाटे के बीच मुझे तुम पुकार लो।

Tanhaiyon Mein Jagee Hai - Loneliness Hindi Shayari

Mujh Mein Itni Veerani Hai,
Chup Hoon Phir Bhi... Goonj Raha Hoon.
मुझ में इतनी वीरानी है
चुप हूँ फिर भी... गूँज रहा हूँ।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dil Dhadkan Jaan Sab Tumhari

Jaan Se Bhi Jyada Tu Humko Pyari Lagti Hai,
Teri Sab Takleef Ab Humko Humari Lagti Hai,
Sochta Hoon Tujh Par Jaan Vaar Doon Apni, Par Ye
Dil, Dhadkan, Jaan... Sab To Tumhari Lagti Hai.
जान से भी ज्यादा तू हमको प्यारी लगती है,
तेरी सब तकलीफ अब हमको हमारी लगती है,
सोचता हूँ तुझ पर जान वार दू अपनी, पर ये
दिल धड़कन जान... सब तो तुम्हारी लगती हैं।

Pal Bhar Ki Khushi Uss Pal Mili,
Jis Pal Tera Saath Mila,
Har Pal Ki Khushi Uss Pal,
Mili Jab Tu Ne Haath Thaam Liya.
पल भर की खुशी उस पल मिली
जिस पल तेरा साथ मिला,
हर पल की खुशी उस पल मिली
जब तूने हाथ थाम लिया।

Advertisement

Shayari Maa Ki Lori Ka Jadoo

Bachcha Tha Bhookha Aur Aankhon Mein Ashq Jarur Tha,
Us Farishte Ka Karishma Bhi Ek Fitoor Tha,
God Mein Basi Maya Ne Uss Bhookh Ko Bhula Diya,
Maa Ki Lori Ke Jadoo Ne Usey Phir Se Sula Diya.

बच्चा था भूखा और आँखों में अश्क जरुर था,
उस फरिश्ते का करिश्मा भी एक फितूर था,
गोद में बसी माया ने उस भूख को भुला दिया,
माँ की लोरी के जादू ने उसे फिर से सुला दिया।

Maa Ki Lori Ka Jadoo Best Maa Shayari

Advertisement

Tanhaai Ki Gehraiyon Mein

Toofani Hawaaon Mein Bikharte Chale Gaye,
Tanhaai Ki Gehraiyon Mein Utarte Chale Gaye,
Jannat Thi Har Shaam Jinke Hone Se,
Dheere Dheere Wo Humse Door Hote Chale Gaye.
तूफानी हवाओं में बिखरते चले गए,
तन्हाई की गहराईयों में उतरते चले गए,
जन्नत थी हर शाम जिनके होने से
धीरे धीरे वो हमसे दूर होते चले गए।

[ Read more Shayari → ]