SHAYARIFY

Chai Mohabbat Hai, Tea Shayari

Yeh Mat Poochha Karo... Chai Pioge Kya,
Chai Mohabbat Hai Aur Sardiyon Mein To Jaan Hai.

यह मत पूछा करो... चाय पिओगे क्या,
चाय मोहब्बत है और सर्दियों में तो जान है।

Aaj Chaai Banate Waqt Kisi Ki Yaad Aa Gai,
To Adarak Ko Mijaaj Se Bahut Koota Maine.

आज चाय बनाते वक़्त किसी की याद आ गई,
तो अदरक को मिजाज से बहुत कूटा मैंने।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dil Bhar Ke Dua Di

Kaisi Ye Chahat Tune Mere Dil Mein Jaga Di Hai,
Jisne Dil Toda Use Dil Bhar Ke Dua Di Hai.

कैसी ये चाहत तूने मेरे दिल में जगा दी है,
जिसने दिल तोड़ा उसे दिल भर के दुआ दी है।

Dua Shayari - Dil Bhar Ke Dua

Agar Takdeer Ka Likha Sab Kuchh Ho Jaata To,
Rab Insan Ko Dua Mangna Kabhi Nahin Sikhata.

अगर तकदीर का लिखा सब कुछ हो जाता तो,
रब इंसान को दुआ माँगना कभी नहीं सिखाता।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Hamari Ye Dua, Hindi Dua Shayari

Tujhe Chahenge Ham #Heer Ki Tarah,
Khuda Se Magenge Tujhe Kisi Fakeer Ki Tarah,
Rang Na Laayi Agar Hamari Ye Duaen, To...
Ham Rah Jayenge Be-Rang Kisi Tasveer Ki Tarah.

तुझे चाहेंगे हम #हीर की तरह,
खुदा से मागेंगे तुझे किसी फ़कीर की तरह,
रंग ना लायी अगर हमारी ये दुआएं, तो...
हम रह जायेंगे बे-रंग किसी तस्वीर की तरह।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Deedaar Kafi Hai, Deedar Shayari

Ye Neendon Ki Hai Khwahish Tera Khwabon Mein Aana,
Najron Ka Kasoor Nahin Jo Tera Deedar Karti Hain.

ये नींदों की है ख्वाहिश तेरा ख्वाबों में आना,
नजरों का कसूर नहीं जो तेरा दीदार करती हैं।

Tera Deedar Shayari

Pyar Ka Mara Hoon, Ek Tera #Deedaar Kafi Hai,
Har Ek Dava Se Behtar, Najar-E-Yaar Kafi Hai.

प्यार का मारा हूँ, एक तेरा #दीदार काफी है,
हर एक दवा से बेहतर, नजर-ए-यार काफी है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain

Khamoshiyan Teri Mujhse Baten Karti Hai,
Meri Har Aah Mera Har Dard Samajhti Hai,
Janta Hoon Majboor Hai Too Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Najren Tere Deedaar Ko Tarasti Hain.

खामोशियाँ तेरी मुझसे बातें करती है,
मेरी हर आह मेरा हर दर्द समझती हैं,
जानता हूँ मजबूर है तू भी और मैं भी,
फिर भी नजरें तेरे दीदार को तरसती हैं।

[ Read more Shayari → ]