- Home
- Page-20
SHAYARIFY
Bikhar Jaoon Main, Khata Shayari
Itni Mohabbat Na Karo Ki Bikhar Jaoon Main,
Thoda Rootha Bhi Karo Ki Sudhar Jaoon Main,
Agar Ho Jaaye Mujh Se Khata To Ho Jaana Khafa,
Par Itna Bhi Nahin Ki Mar Jaoon Main.
इतनी मोहब्बत न करो कि बिखर जाऊँ मैं,
थोड़ा रूठा भी करो कि सुधर जाऊँ मैं,
अगर हो जाये मुझ से खता तो हो जाना खफा,
पर इतना भी नहीं कि मर जाऊँ मैं।
Naraj Na Hona, Best Khafa Shayari
Naraj Na Hona Agar Tera Naam Labon Par Aa Jaye,
Inkar Hua To Sah Lenge, Agar Duniya Hansi To Kah Denge,
Ki Mohabbat Koi Cheez Nahin, Jo Khairaat Mein Mil Jaye,
Cham-Chamata Koi Jugnu Nahin, Jo Har Raat Mein Mil Jaye.
नाराज न होना अगर तेरा नाम लबों पर आ जाये,
इंकार हुआ तो सह लेंगे, अगर दुनिया हंसी तो कह देंगे,
कि मोहब्बत कोई चीज़ नहीं, जो खैरात में मिल जाये,
चम-चमाता कोई जुगनू नहीं, जो हर रात में मिल जाये।
Hurt Shayari, Mushkile Sahkar Bhi
Mushkile Sahkar Bhi Kitne Dard Chhipaye Hamne,
Ek Tere Liye Har Din Aansoo Bahaye Hamane,
Too Chhod Gaya Duniya Mein Hamen Akela,
Tere Diye #Zakhm Har Ek Se Chhupaye Hamne.
मुश्किले सहकर भी कितने दर्द छिपाये हमने,
एक तेरे लिए हर दिन आँसू बहाये हमने,
तू छोड़ गया दुनिया में हमें अकेला,
तेरे दिए #ज़ख्म हर एक से छुपाये हमने।
Buland Hai Agar Hausla
Buland Hai Agar #Hausla To Mutthi Mein Har Mukaam Hai,
Mushkilen Aur Museebaten To Zindagi Mein Aam Hain,
Agar Jinda Ho To #Takat Rakho Baajuon Mein
#Laharon Ke Khilaaf Tairne Ki,
Varna Lahron Ke Saath Bahna To Lashon Ka Kaam Hai.
बुलंद है अगर #हौसला तो मुट्ठी में हर मुकाम है,
मुश्किलें और मुसीबतें तो जिंदगी में आम हैं,
अगर जिंदा हो तो #ताकत रखो बाजुओं में
#लहरों के खिलाफ तैरने की,
वरना लहरों के साथ बहना तो लाशों का काम है।
Dosti Shayari, Kagaz Par Dosti
Kagaz Par Aaj Dosti Likhne Baitha Tha,
Zindagi Main Teri Hissedari Likhne Baitha Tha,
Kalam Uthi Hi Nahi Kagaz Par Chalne Ko,
Kyuki Vafa Ko Aaj Alfaaz Mein Likhne Baitha Tha.
कागज़ पर आज दोस्ती लिखने बैठा था,
ज़िन्दगी मे तेरी हिस्सेदारी लिखने बैठा था,
कलम उठी ही नही कागज़ पर चलने को, क्यूंकि
वफ़ा को आज अल्फाज़ में लिखने बैठा था।