- Home
- Page-21
SHAYARIFY
Maa Ghar Paidal Chali Aatee Hai
Kya Sahi Hai Kya Galat Vo Hamesha Mujhe Samjhati Hai,
Main Khana Nahin Khata To Vo Bhi Kahan Kuchh Khati Hai.
Aur Apne Bachcho Ke Liye Kuchh Paise Bacha Loon,
Ye Sochakar #Maa Ghar Paidal Chali Aatee Hai.
क्या सही है क्या गलत वो हमेशा मुझे समझाती है,
मैं खाना नहीं खाता तो वो भी कहां कुछ खाती है,
और अपने बच्चो के लिए कुछ पैसे बचा लूँ,
ये सोचकर #मां घर पैदल चली आती है।
Attitude Shayari, Akad Mein Khada Hai
Kamaal Ka Darakht Hai Mere Usoolon Ka Bhi,
Sab Patte Jhad Gaye Magar Akad Mein Khada Hai.
कमाल का दरख़्त है मेरे उसूलों का भी,
सब पत्ते झड गए मगर अकड़ में खड़ा है।
Zalzale Unchi Imaarat Ko Gira Sakte Hain,
Main To Buniyaad Hoon Mujhe Koi Khauf Nahin.
जलजले ऊँची इमारत को गिरा सकते हैं,
मैं तो बुनियाद हूँ मुझे कोई खौफ नहीं।
Tum Wapas Aane Ki Takaleef Mat Karna,
Hum Ek Mohabbat Ko Dobaara Nahin Karte.
तुम वापस आने की तकलीफ मत करना,
हम एक मोहब्बत को दोबारा नहीं करते।
Phir Vahi Ishq
Hue Badnaam Magar Phir Bhi Na Sudhar Pae Ham,
Phir Vahi Shayari, Phir Vahi Ishq, Phir Vahi Tum.
हुए बदनाम मगर फिर भी न सुधर पाए हम,
फिर वही शायरी, फिर वही इश्क, फिर वही तुम।
Ek Zamane Se Ishq Kaayam Hai Apne Hi Usoolon Par,
Ye Kal Bhi Takleef Deta Tha Aur Aaj Bhi Deta Hai.
एक ज़माने से इश्क़ कायम है अपने ही उसूलों पर,
ये कल भी तकलीफ देता था और आज भी देता है।
Ishq Ka Jaadoo, Ishq Shayari
Dheere Se Aakar Is Dil Mein Utar Jate Ho,
Sanson Mein Meri Khusbu Banke Mahak Jate Ho,
Kuchh Yoon Chla Hai Tere Ishq Ka Jaadoo,
Uthte Baithte Tum Hi Tum Nazar Aate Ho.
धीरे से आकर इस दिल में उतर जाते हो,
सांसों में मेरी खुसबू बनके महक जाते हो,
कुछ यूँ चला है तेरे इश्क का जादू,
उठते बैठते तुम ही तुम नज़र आते हो।
Tere Be-Hisaab Khayal
Alfaaz Churane Ki Zaroorat Hi Na Padi Kabhi,
Tere Be-Hisaab Khayalon Ne Be-Tahasha Lafz Diye.
अल्फ़ाज़ चुराने की ज़रूरत ही ना पड़ी कभी,
तेरे बे-हिसाब ख्यालों ने बे-तहाशा लफ्ज़ दिए।
Ismen Koi Shak Nahi, Tum Khayalon Mein Ho,
Par Tera Mera Milna, Ab Bhi Sawalon Mein Hai.
इसमें कोई शक नही, तुम ख्यालों में हो,
पर तेरा मेरा मिलना, अब भी सवालों में है।