SHAYARIFY

Toofano Se Ladne Ka Maza

Saahil Pe Pahunchne Se Inkaar Kise Hai Lekin,
Toofano Se Ladne Ka Maza Hi Kuchh Aur Hai,
Kahte Hai, Ki Kismat Khuda Likhta Hai Lekin,
Use Mita Ke Khud Gadhne Ka Maja Hi Kuchh Aur Hai.

साहिल पे पहुंचने से इनकार किसे है लेकिन,
तूफ़ानो से लड़ने का मज़ा ही कुछ और है,
कहते है, कि किस्मत खुदा लिखता है लेकिन,
उसे मिटा के खुद गढ़ने का मजा ही कुछ और है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Guzarte Lamhon Mein

Guzarte Lamhon Mein Sadiyan Talash Karta Hoon,
Ye Meri Pyas Hai, Nadiyaan Talash Karta Hoon,
Yahan Log Ginate Hai Khoobiyaan Apani,
Main Apne Aap Mein Khaamiyan Talash Karta Hoon.

गुज़रते लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ,
ये मेरी प्यास है,नदियाँ तलाश करता हूँ,
यहाँ लोग गिनाते है खूबियां अपनी,
मैं अपने आप में खामियां तलाश करता हूँ।

Advertisement

Zahar Judai Ka - Judai Shayari

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho,
Meri Ragon Mein Zahar Judai Ka Utarta Dekho,
Kin Kin Adaon Se Tujmhe Maanga Hai Khuda Se,
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mein Sisakta Dekho.

आओ किसी शब मुझे टूट के बिखरता देखो,
मेरी रगों में ज़हर जुदाई का उतरता देखो,
किन किन अदाओं से तुम्हें माँगा है खुदा से,
आओ कभी मुझे सजदों में सिसकता देखो।

Best Shayari Zakhr Judai Ka

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Judai Shayari, Teri Judai

Jigar Hai Chhalni-Chhalni Aankhen Lahoo-Lahoo Hain,
Teri Judai Ne Mujhe Is Kadar Tabaah Kar Diya.

जिगर है छलनी-छलनी... आँखें लहू-लहू हैं,
#तेरी जुदाई ने मुझे इस कदर तबाह कर दिया।

Angadai Par Angadai Leti Hai Raat Judai Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jano Baat Meri Tanhai Ki.

अंगड़ाई पर अंगड़ाई लेती है रात जुदाई की,
तुम क्या समझो तुम क्या जानो बात मेरी तन्हाई की।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dr. Rahat Indori Shayari Collection

Best Shayari Of Dr. Rahat Indori

Bahut Guroor Hai... Dariya Ko Apne Hone Par,
Jo Meri Pyas Se Uljhe To Dhajjiyaan Ud Jaen.

बहुत ग़ुरूर है... दरिया को अपने होने पर,
जो मेरी प्यास से उलझे तो धज्जियाँ उड़ जाएँ।

Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yahan Har Ek Mausam Ko Guzar Jane Ki Jaldi Thi.

मैं आख़िर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता,
यहाँ हर एक मौसम को गुज़र जाने की जल्दी थी।

[ Read more Shayari → ]