- Home
- Page-3
SHAYARIFY
Mujhe Chaahat Ka Junoon Rehta Hai
Jis Tarah Ragon Mein Khoon Behta Hai,
Usee Tarah Mujhe Chahat Ka Junoon Rehta Hai,
Zindagi Ki Har Khushi Mansoob Hai Tumse,
Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai.
जिस तरह रागों में खून बहता है,
उसी तरह मुझे चाहत का जुनून रहता है,
जिंदगी की हर खुशी मनसूब है तुमसे,
बात हो तुमसे तो दिल को सुकून रहता है।
Dhadkanein Hain Bechain Sunne Ko Wo Baat,
Soye Nahi Hum Jinki Yadoon Mein Saari Raat,
Kya Wo Keh Payegi Humse Apne Dil Ki Dastan,
Ya Fir Tadpayegi Humko Yoon Hi Subah Shaam.
धड़कनें हैं बेचैन सुनने को वो बात,
सोये नहीं हम जिनकी यादों में सारी रात,
क्या वो कह पाएगी हमसे अपने दिल की दास्ताँ,
या फिर तड़पायेगी हुमको यूँ ही सुबह शाम।
Khushiyon Mein Sara Zamana Hai
Sirf Toone Hi Kabhi Mujhko Apna Na Samjha,
Zamana To Aaj Bhi Mujhe Tera Deewana Kehta Hai.
सिर्फ तूने ही कभी मुझको अपना न समझा,
जमाना तो आज भी मुझे तेरा दीवाना कहता है।
Zindagi Ki Hakeekat Ko Bas Itna Hi Jaana Hai,
Dard Mein Akele Hain Aur Khushiyon Mein Sara Zamana Hai.
जिन्दगी की हकीकत को बस इतना ही जाना है,
दर्द में अकेले हैं और खुशियों में सारा जमाना है।
Chand Ko Apni Chaukhat Pe Sajane Ki Khwaahish Na Rakh,
Ye Zamana To Aankhon Se Khwaab Bhi Chheen Leta Hai.
चाँद को अपनी चौखट पे सजाने की ख्वाहिस न रख,
ये जमाना तो आँखों से ख्वाब भी छीन लेता है।
Waqt Shayari, Har Waqt Har Roj
Kabhi Saath Hai To Kabhi Khilaaf Hai,
Waqt Ka Bhi Aadmi Jaisa Haal Hai.
कभी साथ है तो कभी खिलाफ है,
वक्त का भी आदमी जैसा हाल है।
Har Waqt, Har Roj Tera Hi Khayal,
Na Jane Kis Karz Ki Kisht Ho Tum.
हर वक्त, हर रोज तेरा ही खयाल,
ना जाने किस कर्ज की किश्त हो तुम।
Jo Vyast The Vo Vyast Hi Nikle,
Waqt Par Faltu Log Hi Kaam Aaye.
जो व्यस्त थे वो व्यस्त ही निकले,
वक्त पर फ़ालतू लोग ही काम आये।
Dard Bhari Shayari, Be-Intehaan Dard
Toote Khwaab, Sulagti Tanhaaiyan, Be-Intehaan Dard,
Kitne Haseen Tohfe De Jaati Hai Ye Adhoori Mohabbat.
टूटे ख़्वाब, सुलगती तन्हाईयाँ, बे-इन्तहां दर्द,
कितने हसींन तोहफे दे जाती है ये अधूरी मोहब्बत।
Kho Jao Mujh Mein To Maaloom Ho Ki Dard Kya Hai?
Ye Vo Kissa Hai Jo Jubaan Se Bayan Nahin Hota.
खो जाओ मुझ में तो मालूम हो कि दर्द क्या है?
ये वो किस्सा है जो जुबान से बयाँ नहीं होता।
Ruk Gayi Meri Kalam Dard-e-Dil Bayaan Karte-Karte,
Meri Mohabbat Ko Usne Apna Rutba Samajh Liya.
रुक गयी मेरी कलम दर्द-ए-दिल बयाँ करते-करते,
मेरी मोहब्बत को उसने अपना रुतबा समझ लिया।
Friendship Shayari, Apne Dost Ki Khushiyan
Chhupi Hui Ek Pahchaan Rakhta Hoon,
Bahar Shant Hoon, Andar Toofan Rakhta Hoon,
Rakh Ke Taraajoo Mein Apne Dost Ki Khushiyan,
Doosre Palde Mein Main Apni Jaan Rakhta Hoon.
छुपी हुई एक पहचान रखता हूँ,
बाहर शांत हूँ, अंदर तूफान रखता हूँ,
रख के तराजू में अपने दोस्त की खुशियाँ,
दूसरे पलड़े में मैं अपनी जान रखता हूँ।
Dosti To Ek Jhonka Hai Hawa Ka,
Dosti To Ek Naam Hain Wafa Ka,
Auro Ke Liye Chaahe Kuchh Bhi Ho Dosti,
Hamare Liye To Haseen Tohfa Hai Khuda Ka.
दोस्ती तो एक झोंका है हवा का,
दोस्ती तो एक नाम हैं वफा का,
औरों के लिए चाहे कुछ भी हो दोस्ती ,
हमारे लिए तो हसीन तोहफा है खुदा का।