SHAYARIFY

Har iljaam Ka Hakdaar

Har Iljaam Ka Hakdaar Wo Hame Bana Jaate Hain,
Har Khata Ki Saja Wo Hame Suna Jaate Hain,
Ham Har Baar Chup Rah Jaate Hain,
Kyuki Wo Apana Hone Ka Hak Jata Jaate Hain.

हर इल्जाम का हकदार वो हमे बना जाते है,
हर खता कि सजा वो हमे सुना जाते है,
हम हर बार चुप रह जाते है,
क्योंकि वो अपना होने का हक जता जाते है।

Har ilzaam Ka Hakdaar - ilzaam Shayari

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Ilzaam-E-Bewafai

Tumne Hi Laga Diya Ilzaam-E-Bewafai,
Adalat Bhi Teri Thi Gavaah Bhi Tu Hi Thi.

तूमने ही लगा दिया इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई,
अदालत भी तेरी थी गवाह भी तू ही थी।

Duniya Ko Meri Hakeekat Ka Pata Kuchh Bhi Nahin,
Ilzaam Hazaro Hain Par Khata Kuchh Bhi Nahin.

दुनिया को मेरी हकीकत का पता कुछ भी नहीं,
इल्जाम हजारो हैं पर खता कुछ भी नहीं।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Mir Taqi Mir Shayari Collection

Mere Rone Ki Haqeeqat Jis Mein Thi,
Ek Muddat Tak Wo Kagaz Nam Raha.

मेरे रोने की हक़ीक़त जिस में थी,
एक मुद्दत तक वो काग़ज़ नम रहा।

Ab Kar Ke Faraamosh To Naashaad Karoge,
Par Ham Jo Na Honge To Bahut Yaad Karoge

अब कर के फ़रामोश तो नाशाद करोगे,
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Thaakur Tera Darbaar

Rang Badalti Duniya Dekhi, Dekha Jag Vyavhaar,
Dil Toota Tab Man Ko Bhaaya Thaakur Tera Darbaar.

रंग बदलती दुनिया देखी, देखा जग व्यवहार,
दिल टूटा तब मन को भाया ठाकुर तेरा दरबार।

Radha Ke Sachche Prem Ka Yah Eenaam Hai,
Kanha Se Pahle Log Lete Radha Ka Naam Hai.

राधा के सच्चे प्रेम का यह ईनाम है,
कान्हा से पहले लोग लेते राधा का नाम है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Shama-Parwana Shayari, Shamma Jalti Hai

Mere Pehlu Mein Bhi Ek Shama Jala Karti Hai
Jiski Lou Se Teri Tasveer Bana Karti Hai,
Samne Tere Hoth Khulte Hi Nahi Magar,
Dil Mein Jo Baat Hai Wo Aankh Bayan Karti Hai,
Kyu Ho Gumsum Humse Koi Baat Karo Ai-Dilwar,
Aise Khamoshi Se To Takleef Badaa Karti Hai,
Shamma Jalti Hai To Zamane Ko Pata Chalta Hai,
Dil Ke Jalne Ki Khabar Aakhir Kisko Hua Karti Hai.

मेरे पहलु में भी एक शमा जला करती है
जिसकी लौ से तेरी तस्वीर बना करती है,
सामने तेरे होठ खुलते ही नहीं मगर,
दिल में जो बात है वो आँख बयां करती है,
क्यों हो गुमसुम हमसे कोई बात करो ऐ-दिलवर,
ऐसे ख़ामोशी से तो तकलीफ बड़ा करती है,
शमा जलती है तो ज़माने को पता चलता है,
दिल के जलने की खबर आखिर किसको हुआ करती है।

Shama Jalti Hai - Shama-Parwana Shayari

[ Read more Shayari → ]