- Home
- Page-37
SHAYARIFY
Janaaja Bhaari Tha Gareeb Ka
Janaaja Bahut Bhaari Tha Us Gareeb Ka,
Shayad Saare Aramaan Saath Liye Ja Raha Tha.
जनाजा बहुत भारी था उस गरीब का,
शायद सारे अरमान साथ लिए जा रहा था।
Ajeeb Mithas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Mein Bhi,
Jise Bhi Mauka Milta Hai Wo Peeta Jarur Hai.
अजीब मिठास है मुझ गरीब के खून में भी,
जिसे भी मौका मिलता है वो पीता जरुर है।
Jara Si Aahat Par
Ye Gandagi To Mahal Walon Ne Failai Hai Saahab,
Vrana Gareeb To Sadkon Se Thailiyan Tak Utha Lete Hain.
ये गंदगी तो महल वालों ने फैलाई है साहब,
वरना गरीब तो सड़कों से थैलीयाँ तक उठा लेते हैं।
Jara Si Aahat Par Jaag Jaata Hai Wo Raato Ko,
Ai Khuda Gareeb Ko Beti De To Darvaza Bhi De.
जरा सी आहट पर जाग जाता है वो रातो को,
ऐ खुदा गरीब को बेटी दे तो दरवाज़ा भी दे।
Siyasat Ki Dukaano Mein
Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ki Mulk Mera Jalta Rahe.
सियासत की दुकानों में रोशनी के लिए,
जरूरी है कि मुल्क मेरा जलता रहे।
Inse Ummeed Na Rakh Hain Ye Siyasat Wale,
Ye Kisi Se Bhi Mohabbat Nahin Karne Wale.
इनसे उम्मीद न रख हैं ये सियासत वाले,
ये किसी से भी मोहब्बत नहीं करने वाले।
Bhookhe Bachche Ko
Sula Diya Maa Ne Bhookhe Bachche Ko Ye Kahkar,
Pariyaan Aaengi Sapno Mein Rotiyaan Lekar.
सुला दिया माँ ने भूखे बच्चे को ये कहकर,
परियां आएंगी सपनों में रोटियां लेकर।
Ameeri Ka Hisaab To Dil Dekh Ke Keejiye Saaheb,
Varna Gareebi To Kapdo Se Hi Jhalak Jaati Hai.
अमीरी का हिसाब तो दिल देख के कीजिये साहेब,
वरना गरीबी तो कपड़ो से ही झलक जाती है।
Gareeb Chehra Muskurata Hoga
Khuda Ke Dil Ko Bhi Sukoon Aata Hoga,
Jab Koi Gareeb Chehra Muskurata Hoga.
खुदा के दिल को भी सुकून आता होगा,
जब कोई गरीब चेहरा मुस्कुराता होगा।
Bahut Jaldi Seekh Lete Hain, Zindagi Ke Sabak,
Gareeb Ke Bachche Baat Baat Par Jid Nahin Karate.
बहुत जल्दी सीख लेते हैं, ज़िन्दगी के सबक,
गरीब के बच्चे बात बात पर जिद नहीं करते।