- Home
- Page-46
SHAYARIFY
Movie - Jab Tak Hai Jaan
Teri Aankhon Ki Namkeen Mastiyan,
Teri Hansi Ki Be Parwaah Gustakhiyan,
Teri Zulfon Ki Lehrati Angdaiyaan,
Nahi Bhoolunga Main...
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan
तेरी आँखों की नमकीन मस्तियाँ,
तेरी हंसी की बेपरवाह गुस्ताखियाँ,
तेरी जुल्फों की लहराती अंगड़ाइयाँ,
नहीं भूलूंगा मैं...
जब तक है जान, जब तक है जान।
Teri Zulfon Ke Shamiyane
Jo Gujre Ishq Mein Savan Suhane, Yaad Aate Hain,
Teri Zulfon Ke Mujhko Shamiyane Yaad Aate Hain.
जो गुजरे इश्क में सावन सुहाने, याद आते हैं,
तेरी जुल्फों के मुझको शामियाने याद आते हैं।
Disambar Se Bhi Thanda Hai Teri Zulf Ka Saya,
Ji Chahta Hai Ki Joon Tere Paas Aakar Gujaroon.
दिसम्बर से भी ठण्डा है तेरी ज़ुल्फ़ का साया,
जी चाहता है की जून तेरे पास आकर गुजारूं।
Teri Zulfon Ki Chhaanv
Teri Zulfon Ki Chhaanv Ke Bhi Tajurbe Ajab Rahe,
Jab-Jab Kiya Toone Saya, Jhulasta Hi Raha Hoon.
तेरी जुल्फों की छाँव के भी तजुर्बे अजब रहे,
जब-जब किया तूने साया, झुलसता ही रहा हूँ।
Ye Raat Ki Tanhai, Aur Zikr Teri Zulfon Ka,
Kya Khoob Raat Bhi Qaid Thi Teri Zulfon Ke Tale.
ये रात की तन्हाई, और ज़िक्र तेरी जुल्फों का,
क्या खूब रात भी क़ैद थी तेरी जुल्फों के तले।
Zulfen Deewaar Ban Gayi
Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko Benakaab Dekhne Ki,
Dupatta Jo Sarka To Zulfen Deewaar Ban Gayi.
बड़ी आरज़ू थी मोहब्बत को बेनकाब देखने की,
दुपट्टा जो सरका तो जुल्फें दीवार बन गयी।
Chhed Aati Hain Kabhi Hontho Ko Kabhi Ruksaron Ko,
Tumne Zulfon Ko Apni Bahut Sar Chada Rakha Hai.
छेड़ आती हैं कभी होंठो को कभी रुक्सारों को,
तुमने जुल्फों को अपनी बहुत सर चड़ा रखा है।
Bachpan Ke Wo Din
Kitne Khoobsurat Hua Karte The
Bachpan Ke Wo Din,
Sirf Do Ungliyan Judne Se,
Dosti Fir Se Suru Ho Jaya Karti Thi.
कितने खुबसूरत हुआ करते थे
बचपन के वो दिन,
सिर्फ दो उंगलिया जुड़ने से,
दोस्ती फिर से शुरु हो जाया करती थी।