- Home
- Page-47
SHAYARIFY
Bachpan Ka Sawan
Koyi Mujhko Lauta De Wo Bachpan Ka Sawan,
Woh Kagaj Ki Kashti, Wo Barish Ka Paani.
कोई मुझको लौटा दे वो बचपन का सावन,
वो कागज की कश्ती वो बारिश का पानी।
Dekha Karo Kabhi Apni Maa Ki Aankhon Mein Bhi,
Ye Wo Aaina Hai Jismen Bachche Kabhi Boodhe Nahi Hote.
देखा करो कभी अपनी माँ की आँखों में भी,
ये वो आईना हैं जिसमें बच्चे कभी बूढ़े नही होते।
Kagaz Ki Kashti
Kagaz Ki Kashti Thi Pani Ka Kinara Tha,
Khelne Ki Masti Thi Dil Ye Awara Tha,
Kaha Aa Gye Samajhdari Ke Dal dal Mein,
Wo Nadaan Bachpan Bhi Kitna Pyara Tha.
काग़ज़ की कश्ती थी पानी का किनारा था,
खेलने की मस्ती थी ये दिल अवारा था,
कहाँ आ गए इस समझदारी के दल दल में,
वो नादान बचपन भी कितना प्यारा था।
Bachpan Ka Khel
Chalo Aaj Bachpan Ka Koi Khel Khelen,
Badi Muddat Hui Be-bajh Hans Kar Nahin Dekha.
चलो आज बचपन का कोई खेल खेलें,
बड़ी मुद्दत हुई बे-वजह हंसकर नहीं देखा।
Zindagi Phir Kabhi Na Muskurai Bachpan Ki Tarha,
Maine Mitti Bhi Jama Ki Khilone Bhi Lekar Dekhe.
जिंदगी फिर कभी न मुस्कुराई बचपन की तरह,
मैंने मिट्टी भी जमा की खिलोने भी लेकर देखे।
Nida Fazli Shayari Collection
Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta,
Kahin Zameen Kahin Aasmaan Nahin Milta.
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता,
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।
Ab Khushi Hai Na Koi Dard Rulane Wala,
Ham Ne Apna Liya Har Rang Zamane Wala.
अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला,
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला।
Akbar Allahabadi Shayari Collection
Akbar Dabe Nahin Kisi Sultan Ki Fauj Se,
Lekin Shaheed Ho Gaye Bivi Ki Nauj Se(Kathboli).
अकबर दबे नहीं किसी सुल्ताँ की फ़ौज से,
लेकिन शहीद हो गए बीवी की नौज से(कठबोली)।
Dam Labon Par Tha Dil-E-Zaar Ke Ghabraane Se,
Aa Gayi Jaan Mein Jaan Aap Ke Aa Jaane Se.
दम लबों पर था दिल-ए-ज़ार के घबराने से,
आ गई जान में जान आप के आ जाने से।