- Home
- Page-49
SHAYARIFY
Kaash Shaam Ka Manzar Hota
Wo Roz Dekhta Hai Dhalte Sooraj Ko Is Tarah,
Kaash... Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.
वो रोज़ देखता है ढलते सूरज को इस तरह,
काश... मैं भी किसी शाम का मंज़र होता।
Kaash... Fursat Mein Unhen Bhi Ye Khayal Aa Jaye,
Ki Koi Yaad Karta Hai Unhen Zindagi Samajhkar.
काश... फुरसत में उन्हें भी ये ख्याल आ जाये,
कि कोई याद करता है उन्हें ज़िन्दगी समझकर।
Roj Khwaabon Me
Aa Jaate Hain Wo Roj Khwaabon Me,
Jo Kahte Hain Hum To Kahin Jate Hi Nahi.
आ जाते हैं वो भी रोज ख्वाबों में,
जो कहते हैं हम तो कहीं जाते ही नहीं।
Koi Mila Hi Nahin Jis Ko Saupte Mohasin,
Ham Apne Khwaab Ki Khushbu, Khyal Ka Mausam.
कोई मिला ही नहीं जिस को सौपते मोहसिन,
हम अपने ख्वाब की खुशबु, ख्याल का मौसम।
Tumhen Dekhne Ki Hasrat
Khuda Ka Shukr Hai Ki Usne Khwaab Bana Diye,
Varna Tumhen Dekhne Ki Hasrat Rah Hi Jaati.
खुदा का शुक्र है कि उसने ख्वाब बना दिये,
वरना तुम्हें देखने की हसरत रह ही जाती।
Koi Bataega Kaise Dafnaate Hain Unko,
Wo Khwaab Jo Dil Mein Hi Mar Jate Hain.
कोई बताएगा कैसे दफनाते हैं उनको,
वो ख्वाब जो दिल में ही मर जाते हैं।
Taabeer Jo Mil Jati
Taabeer Jo Mil Jati To Ek Khwaab Bahut Tha,
Jo Shakhs Ganva Baithe Hai Nayab Bahut Tha,
Mai Kaise Bacha Leta Bhala Kashti-E-Dil Ko,
Dariya-E-Muhabbat Me Sailaab Bahut Tha.
ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था,
जो शख्स गँवा बैठे है नायाब बहुत था,
मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को,
दरिया-ए-मुहब्बत मे सैलाब बहुत था।
Khwaab Ik Inaayat Hai
Khwaab Baise To Ik Inaayat Hai,
Aankh Khul Jaye To Museebat Hai.
ख़्वाब वैसे तो इक इनायत है,
आँख खुल जाए तो मुसीबत है।
Zeena Muhaal Kar Rakha Hai Meri In Aankhon Ne,
Khuli Ho To Talaash Teri Band Ho To Khwaab Tere.
ज़ीना मुहाल कर रखा है मेरी इन आँखों ने,
खुली हो तो तलाश तेरी बंद हो तो ख्वाब तेरे।