- Home
- Page-5
SHAYARIFY
Teri Tasveer Baaki Hai
Armaan Tamaam Umr Ke Seene Mein Dafn Hain,
Hum Chalte-Firte Log Majaaron Se Kam Nahin.
अरमाँ तमाम उम्र के सीने में दफ्न है,
हम चलते-फिरते लोग मजारों से कम नहीं।
Abhi To Chand Lafzon Mein Sameta Hai Tujhe Maine,
Abhi To Meri Kitaabo Mein Teri Tasveer Baaki Hai.
अभी तो चंद लफ़्ज़ों में समेटा है तुझे मैंने,
अभी तो मेरी किताबो में तेरी तस्वीर बाकी है।
Riste Hain Shakh-Shakh Par Phoolon Ke Aable,
Gulshan Mein Aaye Hain Ki Bayaanban Mein Aaye Hain.
रिसते है शाख-शाख पर फूलों के आबले,
गुलशन में आये हैं कि बयाँबां में आये हैं।
Zindagi Har Lamha Dhalti Hai
Zindagi Har Lamha Dhalti Hai,
Jaise Ret Mutthi Se Phisalti Hai,
Shikayaten Kitni Bhi Ho Zindagi Se,
Phir Bhi Muskrate Rahna,
Kyuki Ye Zindagi Jaisi Bhi Hai,
Sirf Ek Hi Baar Milti Hai.
ज़िन्दगी हर लम्हा ढलती है,
जैसे रेत मुट्ठी से फिसलती है,
शिकायतें कितनी भी हो ज़िन्दगी से,
फिर भी मुस्कराते रहना,
क्योंकि ये ज़िन्दगी जैसी भी है,
सिर्फ एक ही बार मिलती है।
Zindagi Bas Itna De Do
Zindagi Bas Itna Agar De Do To Kaafi Hai,
Sir Se Chadar Na Hate Paanv Bhi Chadar Mein Rahen.
ज़िन्दगी बस इतना अगर दे दो तो काफी है,
सिर से चादर ना हटे पाँव भी चादर में रहें।
Zindagi Ne Mere Marj Ka Ek Kargar Ilaaj Bataya,
Waqt Ko Dava Kaha Aur Khwahisho Ka Parhez Bataya.
ज़िन्दगी ने मेरे मर्ज का एक कारगर इलाज बताया,
वक़्त को दवा कहा और ख्वाहिशो का परहेज़ बताया।
Zindagi Too Koi Dariya Hai Ki Sagar Hai Koi,
Mujhko Maloom To Ho Kaun Se Paani Mein Hoon Main.
जिंदगी तू कोई दरिया है कि सागर है कोई,
मुझको मालूम तो हो कौन से पानी में हूँ मैं।
Shayari Chai Bhi Nasha Deti Hai
Tum Par Nahin Tumhari Chai Ke Kaayal Hain
Ham Aashiq Hain Jara Si Chai Par Hi Ghayal Hain.
तुम पर नहीं तुम्हारी चाय के कायल हैं,
हम आशिक हैं जरा सी चाय पर ही घायल हैं।
Maikhane Ka Pata Kyon Dete Ho Murshid,
Mujhe To Uske Haatho Ki Chai Bhi Nasha Deti Hai.
मैखाने का पता क्यों देते हो मुर्शिद,
मुझे तो उसके हाथो की चाय भी नशा देती है।
Har Udaas Shakhs Ka Masala Ishq Nahin Hota,
Ho Sakta Hai Use Subah Ki Chai Na Mili Ho.
हर उदास शख्स का मसला इश्क नहीं होता,
हो सकता है उसे सुबह की चाय ना मिली हो।
Ishq Ki Chai Badi Garam
Ek Ek Ghoot Aaraam Se Peejiye Janaab,
Suna Hai Ishq Ki Chai Badi Garam Hoti Hai.
इक इक घूट आराम से पीजिये जनाब,
सुना है इश्क की चाय बड़ी गरम होती है।
Dil Mein Basta Nahin Koi Doosra,
Kuchh Yoon Jadoo Hai Tere Ishq Ka.
दिल में बसता नहीं कोई दूसरा,
कुछ यूँ जादू है तेरे इश्क का...।
Kadak Thand Mein Kadak Chai Ka Maja,
Sharabi Kya Jane Chai Ka Nasha.
कड़क ठण्ड में कड़क चाय का मजा,
शराबी क्या जाने चाय का नशा।