- Home
- Page-51
SHAYARIFY
Be-Intha Mohabbat, Shayari on Love
Ghayal Kar Ke Mujhe Usne Poochha,
Karoge Kya Phir Mohabbat Mujhse,
Lahoo-Lahoo Tha Dil Mera Magar
Honthon Ne Kaha Beintha-Beintha.
घायल कर के मुझे उसने पूछा,
करोगे क्या फिर मोहब्बत मुझसे,
लहू-लहू था दिल मेरा मगर
होंठों ने कहा बेइंतहा-बेइंतहा।
Khwahish Ban Baithe
Sirf Khwaab Hote To Kya Baat Hot,
Tum To Khwahish Ban Baithe... Wo Bhi Beintha...
सिर्फ ख्वाब होते तो क्या बात होती,
तुम तो ख्वाहिश बन बैठे... वो भी बेइंतहा...।
Main Tumhari Kuchh Misaal To De Doon Magar,
Julm Ye Hai Ki Be-Misaal Ho Tum.
मैं तुम्हारी कुछ मिसाल तो दे दूँ मगर,
जुल्म ये है कि बे-मिसाल हो तुम।
Faraaz Shayari Collection
Abhi Kuchh Aur Karishme Gazal Ke Dekhte Hain,
"Faraaz" Ab Zara Lahja Badal Ke Dekhte Hain.
अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं,
"फ़राज़" अब ज़रा लहजा बदल के देखते हैं।
Aisi Tarikiyaan Aankhon Mein Basi Hain Ki "Faraaz"
Raat To Raat Hai Ham Din Ko Jalate Hain Charaag.
ऐसी तारीकियाँ आँखों में बसी हैं कि 'फ़राज़'
रात तो रात है हम दिन को जलाते हैं चराग़।
Mirza Ghalib Shayari Collection
Ham Ko Maloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin,
Dil Ke Khush Rakhane Ko Ghalib Ye Khayal Achchha Hai.
हम को मालूम है जन्नत की हक़ीक़त लेकिन,
दिल के ख़ुश रखने को 'ग़ालिब' ये ख़याल अच्छा है।
Tasalli Se Padhe Hote
Tasalli Se Padhe Hote To Samajh Mein Aate Hum,
Zaroor Kuchh Panne Bina Padhe Hi Palat Diye Honge.
तसल्ली से पढ़े होते तो समझ में आते हम,
जरूर कुछ पन्ने बिना पढ़े ही पलट दिए होंगे।
Hum Ja Rahe Hain Bahan Jahan Dil Ki Ho Kadar,
Baithe Raho Tum Apni Adaen Liye Huye.
हम जा रहे हैं वहां जहाँ दिल की हो कदर,
बैठे रहो तुम अपने अदाएं लिए हुए।
Ek Isi Usool Par Gujaari Hai Zindagi Maine,
Jisko Apna Mana Use Kabhi Parkha Nahin.
एक इसी उसूल पर गुजारी है जिंदगी मैंने,
जिसको अपना माना उसे कभी परखा नहीं।