- Home
- Page-52
SHAYARIFY
Bekaraar Ham Bhi Hain...
Jid Mein Aakar Unse Taalluk Tod Liya Hamne,
Ab Sukoon Unko Nahin Aur Bekaraar Ham Bhi Hain.
जिद में आकर उनसे ताल्लुक तोड़ लिया हमने,
अब सुकून उनको नहीं और बेकरार हम भी हैं।
Neend Churane Wale Poochhte Hain Sote Kyu Nahi,
Itani Hi Fikr Hai To Phir Hamare Hote Kyu Nahi.
नींद चुराने वाले पूछते हैं सोते क्यों नही,
इतनी ही फिक्र है तो फिर हमारे होते क्यों नही।
Faqeer Mizaaz Hoon Main
Faqeer Mizaaz Hoon, Main Apna Andaaz
Auron Se Juda Rakhati Hoon,
Log Masjido Me Jaate Hai,
Main Apne Dil Me Khuda Rakhti Hoon .
फकीर मिजाज हूँ, मै अपना अंदाज
औरों से जुदा रखती हूँ,
लोग मस्जिदो मे जाते है,
मै अपने दिल मे खुदा रखती हूँ।
Phir Mahekti Subah
Raat Guzari To Phir Mahekti Subah Aayi,
Dil Dhadka Phir Aapki Yaad Aayi,
Aankho Ne Mahsoos Kiya... Us Hawa Ko,
Jo Aapko Chhookar Hamare Paas Aayi.
रात गुज़री तो फिर महकती सुबह आयी,
दिल धड़का फिर आपकी याद आयी,
आँखो ने महसूस किया... उस हवा को,
जो आपको छूकर हमारे पास आयी।
Subah Ki Halki Dhoop
Subah Ki Halki Dhoop Kuchh Yaad Dilati Hai,
Har Mehekti Khushboo Ek Jadoo Jagaati Hai,
Kitni Bhi Vyast Kyun Na Ho Ye Zindagi,
Subah-Subah Apno Ki Yaad Aa Hi Jati Hai.
सुबह की हल्की धूप कुछ याद दिलाती है,
हर महकती खुशबू एक जादू जगाती है,
कितनी भी व्यस्त क्यों ना हो यह ज़िन्दगी,
सुबह-सुबह अपनों की याद आ ही जाती है।
सुप्रभात ।।
Alone Shayari, Tanha Hoon Main
Aye Zindagi Ek Baar Tu Nazdeek Aa Tanha Hoon Main,
Yaa Door Se Phir De Koi Sada Tanha Hoon Main,
Duniya Ki Mehfil Main Kahin Main Hoon Bhi Ya Nahi,
Ek Umr Se Is Soch Main Dooba Hua Hoon Main.
ए ज़िन्दगी एक बार तू नज़दीक आ तन्हा हूँ मैं,
या दूर से फिर दे कोई सदा तन्हा हूँ मैं,
दुनिया की महफ़िल मैं कहीं मैं हूँ भी या नहीं,
एक उम्र से इस सोच में डूबा हुआ हूँ मैं।