- Home
- Page-7
SHAYARIFY
Yaad Shayari, Tum Itna Yaad Aaoge
Tum Yaad Aaoge Mujhe Yakeen Tha,
Itna Yaad Aaoge Andaza Nahin Tha.
तुम याद आओगे मुझे यकीन था,
इतना याद आओगे अंदाजा नहीं था।
Koi Yaad Kar Raha Hai Koi, Shiddat Se,
Vaham Bhi Kyo Ye Use Hota Nahin Muddat Se.
कोई याद कर रहा है कोई, शिद्दत से,
वहम भी क्यो ये उसे होता नहीं मुद्दत से।
Baaton Mein Thodi Baat Rah Jane Do
Uski Yaadon Mein Mujhe Yaad Reh Jane Do.
बातों में थोड़ी बात रह जाने दो
उसकी यादों में मुझे याद रह जाने दो।
Miss You Shayari, Lafz Lafz Tu Yaad Hai
Shikayat Karoon To Kisse Karoon,
Ye To Qismat Ki Baat Hai,
Teri Soch Mein Bhi Main Nahin,
Mujhe Lafz Lafz Tu Yaad Hai.
शिकायत करूँ तो किससे करूँ,
ये तो क़िस्मत की बात है,
तेरी सोच में भी मैं नहीं,
मुझे लफ्ज लफ्ज तू याद है।
Hum To Aage Jane Ki Koshish Mein,
Thode Kaamyaab Bhi Hue,
Magar Mann Wahi Aksar Rukta Hai,
Jahan Teri Bikhri Yaadein Mehekti Abhi Talak.
हम तो आगे जाने की कोशिश में,
थोड़े कामयाब भी हुए,
मगर मन वही अक्सर रुकता है,
जहाँ तेरी बिखरी यादें महकती अभी तलक।
Meri Yaadon Ka Daraaz
Kuchh Meethi Si Mahak Hai Aaj Fizaon Mein,
Aaj Phir Shayad Meri Yaadon Ka Daraaz Khula Reh Gaya.
कुछ मीठी सी महक है आज फिजाओं में,
आज फिर शायद मेरी यादों का दराज खुला रह गया।
Sirf Khwaabon Se Hi Nahin Milta Sukoon Sone Ka,
Kisi Ki Yaad Mein Jagane Ka Maja Hi Kuchh Aur Hai.
सिर्फ ख्वाबो से ही नहीं मिलता सुकून सोने का,
किसी की याद में जागने का मजा ही कुछ और है।
Yaadon Ki Aah Reh Jaane Do
Tere Bagair Mera Khwaab Bhi Ab Mera Nahin,
Tere Siva Bhi Ab Mera Koi Nahin,
Jo Baaten Rah Gai Adhoori Chalo Koi Nahin,
Yaadon Ki Wo Aah Reh Jaane Do,
Yaadon Mein Mujhe Yaad Rah Jaane Do.
तेरे बगैर मेरा ख़्वाब भी अब मेरा नहीं,
तेरे सिवा भी अब मेरा कोई नहीं,
जो बातें रह गई अधूरी चलो कोई नहीं,
यादों की वो आह रह जाने दो,
यादों में मुझे याद रह जाने दो।
Hichkiyan Dilakar Uljhan Badha Rahe Ho,
Aankhein Band Hain Phir Bhi Nazar Aa Rahe Ho,
Itna Bata Do Humein Yaad Kar Rahe Ho,
Ya Sirf Apni Yaad Dila Rahe Ho.
हिचकियाँ दिलाकर उलझन बढ़ा रहे हो,
आँखें बंद हैं फिर भी नज़र आ रहे हो,
इतना बता दो हमें याद कर रहे हो,
या सिर्फ अपनी याद दिला रहे हो।
Abhi Aur Udaan Baaki Hai
Khol De Pankh Mere Kehta Hai Parinda,
Abhi Aur Udaan Baaki Hai,
Jameen Hi Nahin Hai Manzil Meri,
Abhee Poora Aasmaan Baaki Hai.
खोल दे पंख मेरे कहता है परिंदा
अभी और उड़ान बाकी है,
जमीन ही नहीं है मंजिल मेरी
अभी पूरा आसमान बाकी है।