- Home
- Page-8
SHAYARIFY
Motivational Shayari, Buland Ho Hausla
Buland Ho Hausla To Mutthi Mein Har Mukam Hai,
Mushkilein Aur Musibatein To Zindagi Mein Aam Hain.
बुलंद हो होंसला तो मुट्ठी में हर मुकाम है,
मुश्किले और मुसीबते तो ज़िंदगी में आम हैं।
Wo Chhoti Chhoti Udaanon Pe Guroor Nahin Karta,
Jo Parinda Apne Liye Aasmaan Dhoondhta Hai.
वो छोटी छोटी उड़ानों पे गुरुर नहीं करता,
जो परिंदा अपने लिये आसमान ढूँढ़ता है।
Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain
Mana Ki Tum Lafzon Ke Baadsah Ho Lekin,
Hum Bhi Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain.
माना की तुम लफ़्ज़ों के बादशाह हो लेकिन,
हम भी खामोशियों पर राज करते हैं।
Fursat Nahi Unhe Humse Baat Karne Ki,
Isliye Ab Har Waqt Khamosh Rehte Hain.
फुर्सत नहीं उन्हें हमसे बात करने की,
इसलिए अब हर वक्त खामोश रहते हैं।
Sirf Aawaaz Aur Alfaaz Hi Nahin,
Meri Khamoshi Bhi Tumhen Pukaarti Hai.
सिर्फ़ आवाज और अल्फाज ही नहीं,
मेरी खामोशी भी तुम्हें पुकारती है।
Kamoshi Shayari, Main Khamoshi Hoon
Main Khamoshi Hoon Tere Man Ki,
Tu Ankahaa Alfaaz Mera,
Main Ek Uljha Lamha Hoon,
Tu Rutha Hua Halaat Mera.
मैं खामोशी हूँ तेरे मन की,
तू अनकहा अलफाज मेरा,
मैं एक उलझा लम्हा हूँ,
तू रूठा हुआ हालात मेरा।
Kaun Kahta Hai Ki
Dil Sirf Lafjon Se Dukhaya Jata Hai,
Teri Khamoshi Bhi
Kabhi Kabhi Aankhen Nam Kar Deti Hai.
कौन कहता है कि
दिल सिर्फ लफ्जों से दुखाया जाता है,
तेरी खामोशी भी
कभी कभी आँखें नम कर देती है।
Khamoshi Kuchh Kehti Hai
Khamoshi Bahut Kuchh Kehti Hai,
Kaan Lagakar Nahin, Dil Lagakar Suno.
खामोशी बहुत कुछ कहती है,
कान लगाकर नहीं, दिल लगाकर सुनो।
Khamoshi Chhupaati Hai Aib Aur Hunar Donon,
Shakhsiyat Ka Andaaza Guftgoo Se Hota Hai.
खामोशी छुपाती है ऐब और हुनर दोनों,
शख्सियत का अंदाजा गुफ्तगू से होता है।
Ishq Bura To Nahi Manoge
Inkrar Jaisi Lajjat Iqraar Mein Kahan,
Badhta Raha Ishq, Uski Nahi-Nahi Se.
इंकार जैसी लज्जत इकरार में कहाँ,
बढ़ता रहा इश्क, उसकी नहीं नहीं से।
Ik Baat Kahoon Ishq Bura To Nahi Manoge,
Bahut Maje Ke The Din, Teri Pahchaan Se Pehle.
इक बात कहूँ इश्क बुरा तो नही मानोगे,
बहुत मजे के थे दिन, तेरी पहचान से पहले।
Ajab Jajba Hai Javani Mai Ishq Karne Ka,
Umr Jeene Ki Hai Or Shauk Marne Ka.
अजब जज्बा है जवानी मै इश्क़ करने का,
उम्र जीने की है ओर शौक मरने का।