- Home
- Page-80
SHAYARIFY
Dard Shayari, Bhari Mahafil Mein
Bheed Mein Bhi Tanha Rahna Mujhko Sikha Diya
Teri Mohabbat Ne Duniya Ko Jhootha Kahna Sikha Diya,
Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hai Ab To,
Sab Kuchh Zindagi Ne Chup-Chaap Sahna Sikha Diya.
भीड़ में भी तन्हा रहना मुझको सिखा दिया,
तेरी मोहब्बत ने दुनिया को झूठा कहना सिखा दिया,
किसी दर्द या ख़ुशी का एहसास नहीं है अब तो,
सब कुछ ज़िन्दगी ने चुप-चाप सहना सिखा दिया।
Kahin Main Shayar Na Ban Jaaun
Ab Bas Bhi Kar Zalim, Kuchh Toh Raham Kha Mujh Par,
Chali Ja Meri Najar Se Dur Kahin Main Shayar Na Ban Jaaun.
अब बस भी कर ज़ालिम, कुछ तो रहम खा मुझ पर,
चली जा मेरी नज़र से दूर कहीं मैं शायर ना बन जाऊं।
Kis Se Paimane Wafa Baandh Rahi Hai Bulbul,
Kal Na Pehchan Sakegi Gul-e-Tar Ki Surat.
किससे पैमाने वफ़ा बाँध रही है बुलबुल,
कल न पहचान सकेगी गुल-ए-तर की सूरत।
Ek Naya Dard
Kya Baat Sikhai Hai Tajurve Ne Hame...
Ek Naya Dard Hi Purane Dard Ki Dawayi Hai.
एक बात सिखाई है... ताजुर्वे ने हमें,
एक नया दर्द ही पुराने दर्द की दवा है।
Dil Bekarar Mat Karo
Jamane Me kisi Par Aitbaar Mat Karna,
Kisi Ki Chahat Mein Dil Bekarar Mat Karo,
Ya To Haunsla Rakho Dard-E-Dil Sahne Ka,
Ya Phir Kisi Se Ishq Mat Karo.
ज़माने में किसी पर ऐतबार मत करना,
किसी की चाहत में दिल बेकरार मत करो,
या तो हौंसला रखो दर्द-ए-दिल सहने का,
या फिर किसी से इश्क मत करो।
Dard Shayari, Teri Mohabbat Mein
Teri Mohabbat Mein Ham Baithen Hain Chot Khay,
Jiska Hisab Na Ho Sake Utne Dard Hamne Paye,
Phir Bhi Tere Pyar Ki Kasam Khake Kahta Hoon,
Hamare Lab Par Tere Liye Sirf Aur Sirf Dua Aaye.
तेरी मोहब्बत में हम बैठें हैं चोट खाए,
जिसका हिसाब न हो सके उतने दर्द हमने पाये,
फिर भी तेरे प्यार की कसम खाके कहता हूँ,
हमारे लब पर तेरे लिये सिर्फ और सिर्फ दुआ आये।