- Home
- Page-81
SHAYARIFY
Dard Dil Mein Hi Rahe
Iss Tarah Meri Taraf Mera Maseeha Dekhe,
Dard Dil Mein Hi Rahe Aur Davaa Ho Jaye.
इस तरह मेरी तरफ मेरा मसीहा देखे,
दर्द दिल में ही रहे और दवा हो जाए।
Dard Mein Bhi Muskurane Ki Aadat
Jaan Gaya Wo Hamen Dard Mein Bhi Muskurane Ki Aadat Hai,
Isaliye Wo Roz Naya Duhkh Deta Hai Meri Khushi Ke Liye.
जान गया वो हमें दर्द में भी मुस्कुराने की आदत है,
इसलिए वो रोज़ नया दुःख देता है मेरी ख़ुशी के लिए।
ilaaj-e-Dard-e-Dil Tumse Mere Maseeha Ho Nahi Sakta,
Tum Achha Kar Nahi Sakte Main Achha Ho Nahi Sakta.
इलाजे-दर्दे-दिल तुमसे मेरे मसीहा हो नहीं सकता,
तुम अच्छा कर नहीं सकते मैं अच्छा हो नहीं सकता।
Zindagi Ki Raftaar...
Raftaar Kuchh Is Kadar Tez Hui Hai Zindagi Ki,
Ki Subah Ka Dard Shaam Ko Purana Ho Jaata Hai.
रफ़्तार कुछ इस कदर तेज़ हुई है जिन्दगी की,
कि सुबह का दर्द शाम को पुराना हो जाता है।
Bas Ek Najar Hai... Le De Ke Apne Paas,
Kyu Dekhen Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se.
बस एक नजर है... ले दे के अपने पास,
क्यूँ देखें ज़िन्दगी को किसी की नज़र से।
Dard-E-Dil Hota Hai
Ishq Karne Walon Ka Yahi Hashr Hota Hai,
Dard-E-Dil Hota Hai, Rah Rah Ke Seene Mein,
Band Honth Kuchh Na Kuchh Gunagunate Hi Rahte Hain,
Khaamosh Nigahon Ka Bhi Gahara Asar Hota Hai.
इश्क करने वालों का यही हश्र होता है,
दर्द-ए-दिल होता है, रह रह के सीने में,
बंद होंठ कुछ ना कुछ गुनगुनाते ही रहते हैं,
खामोश निगाहों का भी गहरा असर होता है।
Pyar Ki Raah Mein Toot Gaye
Har Khushi Ke Pahaloo Haathon Se Chhoot Gaye,
Ab To Khud Ke Saaye Bhi Hamse Rooth Gaye,
Haalaat Hain Ab Aise Zindagi Mein Hamari,
Pyaar Ki Raahon Mein Ham Khud Hi Toot Gaye.
हर ख़ुशी के पहलू हाथों से छूट गए,
अब तो खुद के साये भी हमसे रूठ गए,
हालात हैं अब ऐसे ज़िंदगी में हमारी,
प्यार की राहों में हम खुद ही टूट गए।