- Home
- Page-82
SHAYARIFY
Hawa Se Lipti Hui Siskiyan
Hawa Se Lipti Hui Siskiyon Se Lagta Hai,
Meri Kahani Fir Kisi Ashiq Ne Dhohrayi Hai.
हवा से लिपटी हुयी सिसकियों से लगता है,
मेरी कहानी फिर किसी आशिक ने दोहराई है।
Phir Kahin Se Dard Ke Sikke Milenge,
Ye Hatheli Aaj Phir Khujla Rahi Hai.
फिर कहीं से दर्द के सिक्के मिलेंगे,
ये हथेली आज फिर खुजला रही है।
Dard Ka Afsana
Labo Par Jab Kisi Ke Dard Ka Afsana Aata Hai,
Hamen Rah-Rah Kar Apna Dil-E-Deewana Aata Hai.
लबो पर जब किसी के दर्द का अफ़साना आता है,
हमें रह-रह कर अपना दिल-ए-दीवाना आता है।
Waqt Har Zakhm Ka Marham Ton Ban Nahi Sakta,
Dard Kuchh Aise Hote Hain Ta-Umr Rulane Wale.
वक़्त हर ज़ख़्म का मरहम तो नहीं बन सकता,
दर्द कुछ ऐसे होते हैं, ता-उम्र रुलाने वाले।
Mita Dete Tere Diye Har Dard Ko
Har Zakhm Kisi Thokar Ki Meharbani Hai,
Meri Zindagi Ki Bas Yahi Ek Kahani Hai,
Mita Dete Tere Diye Har Dard Ko Seene Se,
Par Ye Dard Hi To Usaki Aakhiri Nishani Hai.
हर ज़ख़्म किसी ठोकर की मेहरबानी है,
मेरी ज़िंदगी की बस यही एक कहानी है,
मिटा देते तेरे दिए हर दर्द को सीने से,
पर ये दर्द ही तो उसकी आखिरी निशानी है।
Dard Kya Hai?
Kho Jao Mujh Mein To Maloom Ho Ki Dard Kya Hai?
Ye Wo Kissa Hai Jo Juban Se Bayan Nahi Hota.
खो जाओ मुझ में तो मालूम हो कि दर्द क्या है?
ये वो किस्सा है जो जुबान से बयाँ नही होता।
Tajurbe Ne Ek Hi Baat Sikhai Hai,
Naya Dard Hi Purane Dard Ki Davai Hai.
तजुर्बे ने एक ही बात सिखाई है,
नया दर्द ही पुराने दर्द की दवाई है।
Dard-E-Dil Ki Daastaan
Yeh Gazalon Ki Duniya Bhi Badi Ajeeb Hai,
Yahan Aansuon Ke Bhi Jaam Banaye Jate Hain,
Kah Bhi De Agar Dard-E-Dil Ki Daastaan,
Phir Bhi Waah-Waah Hi Pukaara Jaata Hai.
यह ग़ज़लों की दुनिया भी बड़ी अजीब है,
यहाँ आँसुओं के भी जाम बनाये जाते हैं,
कह भी दे अगर दर्द-ए-दिल की दास्तान,
फिर भी वाह-वाह ही पुकारा जाता है।