- Home
- Page-85
SHAYARIFY
Maa Teri Yaad Satati Hai
Maa Teri Yaad Satati Hai Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon Mujhe Apne Aanchal Mein Sulaao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
माँ तेरी याद सताती है मेरे पास आ जाओ,
थक गया हूँ मुझे अपने आँचल मे सुलाओ,
उंगलियाँ अपनी फेर कर बालो में मेरे,
एक बार फिर से बचपन कि लोरियां सुनाओ।
Tifin Rakhti Hai Meri Maa
Kitaabon Se Nikal Kar Titaliyaan Gazalen Sunati Hain,
Tifin Rakhti Hai Meri Maa To Basta Muskuraata Hai.
किताबों से निकल कर तितलियाँ ग़ज़लें सुनाती हैं,
टिफ़िन रखती है मेरी माँ तो बस्ता मुस्कुराता है।
Kadam Jab Choomle Manzil To Jazba Muskurata Hai,
Dua Lekar Chalo Maa Ki To Rasta Muskurata Hai.
कदम जब चूमले मंज़िल तो जज़्बा मुस्कुराता है,
दुआ लेकर चलो माँ की तो रस्ता मुस्कुराता है।
Maa Sazde Mein Rahti Hai
Ai Raat Mujhe Maa Ki Tarah God Mein Le Le Aaj,
Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Toot Raha Hai.
ऐ रात मुझे माँ की तरह गोद में ले ले आज,
दिन भर की मशक़्क़त से बदन टूट रहा है।
Ye Aisa Karz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahin Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Lautu, Meri Maa Sazde Mein Rahti Hai
ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है।
Lafz-E-Maa
Mainne Kal Shab Chaahaton Ki Sab Kitaben Phaad Di,
Sirf Ik Kaagaz Pe Likha Lafz—E—Maa Rahane Diya
मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दीं,
सिर्फ़ इक काग़ज़ पे लिक्खा लफ़्ज़—ए—माँ रहने दिया।
Maa ! Ke Aage Yoon Hi Kabhi Khul Kar Nahin Rona,
Jahan Buniyaad Ho, Itni Nami Achchhi Nahin Hoti.
माँ ! के आगे यूँ ही कभी खुल कर नहीं रोना,
जहाँ बुनियाद हो, इतनी नमी अच्छी नहीं होती।
Maa Teri Dua Le Jaayenge
Hadason Ki Gard Se... Khud Ko Bachane Ke Liye,
Maa Ham Apne Saath Bas Teri Dua Le Jaayenge.
हादसों की गर्द से... ख़ुद को बचाने के लिए,
माँ हम अपने साथ बस तेरी दुआ ले जायेंगे।
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi,
Main Ghar Mein Sabse Chhota Tha Mere Hisse Mein Maa Aayi.
किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आयी,
मैं घर में सबसे छोटा था मेरे हिस्से में माँ आयी।