- Home
- Tareef Shayari
Hindi Shayari on Beauty
Beauty Shayari, Ye Pankhudi Se Honth
Tujh Sa Koi Jahaan Mein Nazuk-Badan Kahan,
Ye Pankhudi Se Honthh Ye Gul Sa Badan Kahan.
तुझसा कोई जहाँ में नाज़ुक-बदन कहाँ,
ये पंखुड़ी से होंठ ये गुल सा बदन कहाँ।
Dekhe Hansi Hain Saikadon Lekin Nahin Tera Jawaab,
Dilbari Mein Ada Mein Naaz Mein Andaaz Mein.
देखे हंसी हैं सैकड़ों लेकिन नहीं तेरा जवाब,
दिलबरी में अदा में नाज में अंदाज में।
Hum Ishq Mein Hain Maahir To Tum Husn Mein BeMisaal,
Hum Sa Bhi Nahin Ek Jo Tum Sa Nahin Koi.
हम इश्क में हैं माहिर तो तुम हुस्न में बेमिसाल,
हम सा भी नहीं एक जो तुम सा नहीं कोई।
Tareef Karoon Ya Chup Rahoon
Kuchh Aapka Andaaz Hai Kuchh Mausam Rangeen Hai,
Tareef Karoon Ya Chup Rahoon Jurm Dono Sangeen Hai.
कुछ आपका अंदाज है कुछ मौसम रंगीन है,
तारीफ करूँ या चुप रहूँ जुर्म दोनो संगीन है।
Lafzon Ki Kami Ho Gayi Hai Paas Hamare Varana,
Kabeel-e-Tareef To Bahut Kuchh Hai Aap Mein.
लफ्ज़ों की कमी हो गई है पास हमारे वरना,
काबिले तारीफ तो बहुत कुछ है आप में।
Husn Ki Kya Baat, Shayari on Beauty
Gusse Mein Jo Nikhra Hai, Us Husn Ki Kya Baat,
Kuchh Der Abhi Mujhse Tum Yoon Hi Khafa Rahna.
ग़ुस्से में जो निखरा है, उस हुस्न की क्या बात,
कुछ देर अभी मुझसे तुम यूँ ही ख़फ़ा रहना।
Bas Is Shauq Mein Poochhi Hain Laakho Baaten,
Main Tera Husn Tere Husn-E-Bayan Tak Dekhoon.
बस इस शौक़ में पूछी हैं लाखो बातें,
मैं तेरा हुस्न तेरे हुस्न-ए-बयाँ तक देखूँ।
Masoomiyat Shayari Collection
Kya Likhoon Teri Tareef-E-Soorat Mein Yaar,
Alfaaz Kam Pad Rahe Hain Teri Masoomiyat Dekhkar.
क्या लिखूं तेरी तारीफ-ए-सूरत में यार,
अलफ़ाज़ कम पड़ रहे हैं तेरी मासूमियत देखकर।
Aaj Uski Masoomiyat Ke Kayal Ho Gaye,
Sirf Uski Ek Najar Se Hi Ghayal Ho Gaye.
आज उसकी मासूमियत के कायल हो गए,
सिर्फ उसकी एक नजर से ही घायल हो गए।
Husn Benaqab Ho Gaya
Rukh Se Parda Hata To, Husn Benaqab Ho Gaya,
Unse Mili Nazar To, Dil Bekarar Ho Gaya.
रुख से पर्दा हटा तो, हुस्न बेनकाब हो गया,
उनसे मिली नज़र तो, दिल बेकरार हो गया।
Wo Mujhse Roz Kahti Thi Mujhe Tum Chand La Kar Do,
Use Ek Aaina De Kar Akela Chhod Aaya Hoon.
वो मुझसे रोज़ कहती थी मुझे तुम चाँद ला कर दो,
उसे एक आईना दे कर अकेला छोड़ आया हूँ।