- Home
- Tareef Shayari
- Masoomiyat Shayari Collection
Masoomiyat Shayari Collection
Kya Likhoon Teri Tareef-E-Soorat Mein Yaar,
Alfaaz Kam Pad Rahe Hain Teri Masoomiyat Dekhkar.
क्या लिखूं तेरी तारीफ-ए-सूरत में यार,
अलफ़ाज़ कम पड़ रहे हैं तेरी मासूमियत देखकर।
Aaj Uski Masoomiyat Ke Kayal Ho Gaye,
Sirf Uski Ek Najar Se Hi Ghayal Ho Gaye.
आज उसकी मासूमियत के कायल हो गए,
सिर्फ उसकी एक नजर से ही घायल हो गए।
Meri Masoomiyat Mujhse Chura Gaya,
Koi Is Tarah Mohabbat Mujhse Nibha Gaya.
मेरी मासूमियत मुझसे चुरा गया,
कोई इस तरह मोहब्बत मुझसे निभा गया।
Na Jane Kya Masoomiyat Hai Tere Chehre Par...
Tere Samne Aane Se Zyada Tujhe Chhupkar Dekhna Achha Lagta Hai.
न जाने क्या मासूमियत है तेरे चेहरे पर...
तेरे सामने आने से ज़्यादा तुझे छुपकर देखना अच्छा लगता है।
Dam Tod Jati Hai Har Shikayat Labon Pe Aakar,
Jab Masoomiyat Se Wo Kahti Hai Maine Kiya Hi Kya Hai ?
दम तोड़ जाती है हर शिकायत लबों पे आकर,
जब मासूमियत से वो कहती है मैंने किया ही क्या है ?
Likh Doon Kitaben Teri Masoomiyat Par Phir Dar Lagta Hai,
Kahin Har Shakhs Tera Talabgaar Na Ho Jaye.
लिख दूं किताबें तेरी मासूमियत पर फिर डर लगता है,
कहीं हर शख्स तेरा तलबगार ना हो जाये।