- Home
- Siyasat Shayari
Siyasat Shayari (Politics Shayari)
Rajneeti Shayari Collection
Ye Siyasat Ke Chashme Kuchh Dhudhle Ho Gaye,
Chunavi Vade Aajkal Phir Jumle Ho Gaye.
ये सियासत के चश्मे कुछ धुधले हो गए,
चुनावी वादे आजकल फिर जुमले हो गए।
Siyasat Ke Khel Mein Kursi Ki Bhookh Hoti Hai,
Isaliye To Hindu Musalmaan Mein Daali Foot Hoti Hai.
सियासत के खेल में कुर्सी की भूख होती है,
इसलिए तो हिन्दू मुसलमान में डाली फूट होती है।
Majhabi Siyasten
Ai Dil Chal Ud Chale Kaheen Door Us Jahaan Mein,
Jahaan Majhabi Siyasten Aur Sarhaden Na Hon.
ऐ दिल चल उड़ चले कहीं दूर उस जहाँ में,
जहाँ मजहबी सियासते और सरहदें न हों।
Tum Mere Dost Ho... Dushman Ban Jao,
Magar Khuda Ke Liye Siyasat Mat Karo.
तुम मेरे दोस्त हो... दुश्मन बन जाओ,
मगर ख़ुदा के लिए सियासत मत करो।
Siyasat Apna Rukh
Siyasat Apna Rukh Ab Itna Kada Mat Kar,
Insaniyat Ko Ab Bhagava Aur Hara Mat Kar.
सियासत अपना रुख अब इतना कड़ा मत कर,
इंसानियत को अब भगवा और हरा मत कर।
Gareebi Ki Kya Khoob Hansi Udai Jaati Hai,
Ek Roti Dekar Sau Tasveer Khichai Jaati Hain.
गरीबी की क्या खूब हंसी उड़ाई जाती है,
एक रोटी देकर सौ तस्वीर खिचाई जाती हैं।
Siyasat Ki Dukaano Mein
Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ki Mulk Mera Jalta Rahe.
सियासत की दुकानों में रोशनी के लिए,
जरूरी है कि मुल्क मेरा जलता रहे।
Inse Ummeed Na Rakh Hain Ye Siyasat Wale,
Ye Kisi Se Bhi Mohabbat Nahin Karne Wale.
इनसे उम्मीद न रख हैं ये सियासत वाले,
ये किसी से भी मोहब्बत नहीं करने वाले।