- Home
- Waqt Shayari
Waqt Shayari
Waqt Shayari, Har Waqt Har Roj
Kabhi Saath Hai To Kabhi Khilaaf Hai,
Waqt Ka Bhi Aadmi Jaisa Haal Hai.
कभी साथ है तो कभी खिलाफ है,
वक्त का भी आदमी जैसा हाल है।
Har Waqt, Har Roj Tera Hi Khayal,
Na Jane Kis Karz Ki Kisht Ho Tum.
हर वक्त, हर रोज तेरा ही खयाल,
ना जाने किस कर्ज की किश्त हो तुम।
Jo Vyast The Vo Vyast Hi Nikle,
Waqt Par Faltu Log Hi Kaam Aaye.
जो व्यस्त थे वो व्यस्त ही निकले,
वक्त पर फ़ालतू लोग ही काम आये।
Waqt Shayari, Jab Waqt Achchha Tha
Waqt Achchha Tha To Humari Galti Majaak Lagti Thi,
Waqt Bura Hai To Humara Majaak Bhi Galti Lagti Hai.
क्त अच्छा था तो हमारी गलती मजाक लगती थी,
वक्त बुरा है तो हमारा मजाक भी गलती लगती है।
Chal Kar Dekha Hai Maine Apni Chaal Se Tez,
Phir Bhi Waqt Se Aage Na Nikal Saka.
चलकर देखा है मैने अपनी चाल से तेज,
फिर भी वक्त से आगे न निकल सका।
Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai
Jisko Jo Kahana Hai Kahane Do Apna Kya Jata Hai,
Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai Aur Waqt Sabka Aata Hai.
जिसको जो कहना है कहने दो अपना क्या जाता है,
ये वक्त वक्त की बात है और वक्त सबका आता है।
Muddaton Baad Hamne Samjha To Kya Samjha,
Ham Ek Jarurat The, Jo Waqt Ke Sath Khatm Ho Gai.
मुद्दतों बाद हमने समझा तो क्या समझा,
हम एक जरुरत थे, जो वक्त के साथ ख़त्म हो गई।
Badalte Waqt Ke Saath To Badla Hai,
Ye Ishq Hai Tera Ya Phir Badla Hai.
बदलते वक्त के साथ तू बदला है,
ये इश्क है तेरा या फिर बदला है।
Tajurbe Dekar Wo Mujhse
Kuchh Is Tarah Se Sauda Kiya Mujhse Mere Waqt Ne,
Tajurbe Dekar Wo Mujhse Meri Nadaniyaan Le Gaya.
कुछ इस तरह से सौदा किया मुझसे मेरे वक़्त ने,
तजुर्बे देकर वो मुझसे मेरी नादानीयाँ ले गया।
Chale Jaayenge Tujhe Tere Haal Par Chhod Kar,
Kadar Kya Hoti Hai Tujhe Waqt Sikha Dega.
चले जायेंगे तुझे तेरे हाल पर छोड़ कर,
कदर क्या होती है तुझे वक़्त सिखा देगा।
Waqt Is Tarah Gujar Jaata Hai
Pata Nahin Kyu Waqt Is Tarah Gujar Jaata Hai,
Jo Waqt Tha Wo Palat Kar Samane Aata Hai,
Aur Jis Waqt Ko Ham Dil Se Pana Chahte Hain,
Wo To Bas Ek Lamha Banakar Beet Jaata Hai.
पता नहीं क्यूँ वक़्त इस तरह गुजर जाता है,
जो वक़्त था वो पलट कर सामने आता है,
और जिस वक़्त को हम दिल से पाना चाहते हैं,
वो तो बस एक लम्हा बनकर बीत जाता है।