Shayari on Eyes, Aankhon Mein Haya

Advertisement

Haan Hai, To Muskura De... Na Hai, To Nazar Pher Le,
Yoon Sharma Ke Aankhen Jhukane Se, Uljhane Badh Jati Hain.
हाँ है, तो मुस्कुरा दे... ना है, तो नजर फेर ले,
यूँ शरमा के आँखें झुकाने से, उलझनें बढ़ जाती हैं।

Aankhen Jhukane Se - Aankhein Shayari

Aankhon Mein Hayaa Ho To Parda Dil Ka Hi Kafi Hai,
Nahin To Naqab Se Bhi Hote Hain Ishare Mohabbat Ke.
आँखों में हया हो तो पर्दा दिल का ही काफी है,
नहीं तो नकाब से भी होते हैं इशारे मोहब्बत के।

Advertisement

Zuban Unki Laakh Jhooth Kehti Rahi Humse,
Phir Yoon Hua Ki Humne Unki Aankhen Parh Li.
जुबां उनकी लाख झूठ कहती रही हमसे,
फिर यूँ हुआ कि हमने उनकी आँखें पढ़ ली।

Nasheeli Aankhein Tumhari Bawaal Karti Hain,
Jahan Bhi Ho Katl-e-Aam Karti Hain.
नशीली आँखें तुम्हारी बवाल करती है,
जहाँ भी हो कत्ल-ए-आम करती है।

Teri Masoom Aankhen Dekh Main Pighal Jaata Hoon
In Aankhon Ke Ishaaron Ki Har Baat Maanta Hoon.
तेरी मासूम आँखें देख मैं पिघल जाता हूँ
इन आँखों के इशारों की हर बात मानता हूँ।

Teri Aankhen Bahut Maasoom Hain, Un Mein Bahut Junoon Hai,
Jo Bhi Dekh Le, Unhen Milta Bahut Sukoon Hai.
तेरी आँखें बहुत मासूम है, उनमें बहुत जूनून है,
जो भी देख ले, उन्हें मिलता बहुत सुकून है।

Advertisement
Advertisement