Aankhein Shayari, DilKash Aankhen Diwaana Kar De

Advertisement

DilKash Aankhen Hone Ka, Ye Matlab To Nahin,
Ki Jise Dekho... Usey Deewana Kar Do.
दिलकश आँखें होने का, ये मतलब तो नहीं,
कि जिसे देखो... उसे दीवाना कर दो।

Ham Ne Roti Hui Aankhon Ko Hasaya Hai Sada,
Is Se Behatar Ibadat To Nahin Hogi Hamse.
हम ने रोती हुई आँखों को हँसाया है सदा,
इस से बेहतर इबादत तो नहीं होगी हमसे।

Advertisement

Rootha Hoon Main, Mujhko Aakar Manao,
Nigaahon Ka Teri, Hunar Dekhna Hai.
रूठा हूँ मैं, मुझको आकर मनाओ,
निगाहों का तेरी, हुनर देखना है।

Rakh Lo Aaeene Hazar Tasalli Ke Liye,
Par Sach Ke Liye To, Aankhen Hi Milani Padhengi.
रख लो आईने हजार तसल्ली के लिए,
पर सच के लिए तो, आँखें ही मिलानी पढ़ेंगी।

Muskura Ke Dekha To Kaleje Mein Chubh Gayi,
Khanzar Se Bhi Tez Lagti Hain Aankhen Janab Ki.
मुस्कुरा के देखा तो कलेजे में चुभ गयी,
खंजर से भी तेज लगती हैं आँखें जनाब की।

Advertisement
Advertisement