- Home
- Alone Shayari
- Alone Shayari, Tanha Bhi Be-Misaal Hain
Alone Shayari, Tanha Bhi Be-Misaal Hain
KhushMizaji Mashhoor Hai Hamari,
Sadagi Bhi Kamaal Hai,
Hum Shararati Bhi Inteha Ke Hain,
Tanha Bhi Be-Misaal Hain.
खुशमिजाजी मशहूर है हमारी,
सादगी भी कमाल है
हम शरारती भी इंतेहा के थे,
तन्हा भी बेमिसाल हैं।
Kis Baat Ka Badla Liya Hai,
Tumne Mujhe Apna Bana Ke,
Iss Tarah Tanha Chhoda Hai,
Ki Main Apna Bhi Na Ban Saka.
किस बात का बदला लिया है,
तुमने मुझे अपना बना के,
इस तरह तन्हा छोड़ा है,
कि मैं अपना भी न बन सका।
Lo Aaj Phir Rone Laga Hai Aasmaan,
Ban Ke Barish,
Shayad Aaj Us Ko Phir
Ehsaas Hua Hai Meri Tanhai Ka.
लो आज फिर रोने लगा है आसमान,
बन के बारिश,
शायद आज उसको फिर
एहसास हुआ है मेरी तन्हाई का।
Ik Aag Gam-e-Tanhai Ki,
Jo Saare Badan Mein Phail Gayi,
Jab Jism Hi Saara Jalta Ho,
Phir Daaman-e-Dil Ko Bachaayein Kya.
इक आग गम-ए-तन्हाई की,
जो सारे बदन में फैल गई,
जब जिस्म ही सारा जलता हो,
फिर दामन-ए-दिल को बचाएँ क्या।