- Home
- Alone Shayari
- Shayari Tanhaai Ki Raaton Ka Sahara
Shayari Tanhaai Ki Raaton Ka Sahara
Kuchh To Tanhaai Ki Raaton Mein Sahara Hota,
Tum Na Hote Na Sahi Zikr Tumhaara Hota.
कुछ तो तन्हाई की रातों में सहारा होता,
तुम न होते न सही ज़िक्र तुम्हारा होता।
Syaah Ratein, Mayoosi, Aansoo, Lachari, Tanhaai,
Mohabbat De Ya Kar Maut Ka Intazam Zindagi.
स्याह रातें, मायूसी, आँसू, लाचारी, तन्हाई,
मोहब्बत दे या कर मौत का इंतज़ाम जिंदगी।
Ek Tere Siva Aur Kaun Hai Mera,
Fir Tanha Kiske Sahare Chhod Dete Ho.
एक तेरे सिवा और कौन है मेरा,
फ़िर तन्हा किसके सहारे छोड़ देते हो।
Aankhen Footen Jo Jhapakti Bhi Hon,
Tanhaai Bhari Raaton Mein Kaisa Sona.
आँखें फूटें जो झपकती भी हों,
तन्हाई भरी रातों में कैसा सोना।
Dillagi Mein Waqt-E-Tanhai Aisa Bhi Aata Hai,
Ki Raat Chali Jaati Hai Magar Andhere Nahin Jate.
दिल्लगी में वक़्त-ए-तन्हाई ऐसा भी आता है,
कि रात चली जाती है मगर अँधेरे नहीं जाते।
Main Tanhai Ko Tanhai Mein Tanha Kaise Chhod Doon,
Tanhai Ne Tanhai Mein Tanha Mera Saath Diya Hai.
मैं तन्हाई को तन्हाई में तन्हा कैसे छोड़ दूँ
तन्हाई ने तन्हाई में तन्हा मेरा साथ दिया है।
Yoon Bhi Hua Raat Ko Jab Log So Gaye,
Tanhai Aur Main Teri Baaton Mein Kho Gaye.
यूँ भी हुआ रात को जब लोग सो गए,
तन्हाई और मैं तेरी बातों में खो गए।